Ab Main Ration Ki Qataron Mein Nazar Aata Hoon


Ab Main Ration Ki Kataron Mein Nazar Aata Hoon
Apne Kheton Se Bichchadne Ki Saza Paata Hoon


Itnee Menhgaayee Ke Bazaar Se Kuch Laata Hoon
Apne Bachchon Mein Us'se Baant Ke Sharmaata Hoon


Apnee Neendo Ki Lahoo Pochne Ki Koshish Mein
Jaagte Jaagte, Thak Jaata Hoon So Jaata Hoon


Koi Chaadar Samajh Ke Kheench Na Le Fir Se "khaleel"
Main Qafan Odh Kar Foot-paath Pe So Jaata Hoon

Album: Cry for Cry (1995)
By: Jagjit Singh
Lyrics: KHALEEL DHANTEJVI

अब में राशन की कतारों में नज़र आता हूँ 
अपने खेतों से बिछड़ने की सज़ा पाता हूँ 

इतनी महंगाई है के बाज़ार से कुछ लाता हूँ 
अपने बच्चों में उसे बाँट के शरमाता हूँ 

अपनी नींदों का लहू पोंछने की कोशिश में
जागते जागते थक जाता हूँ, सो जाता हूँ 

कोई चादर समझ के खींच न ले फिर से 'ख़लील'
मैं कफन ओढ़ के फुटपाथ पे सो जाता हूँ 
Listen on YOUTUBE.Com
By: Jagjit Singh
 

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें