Tum To Nahin Ho

  1. Mujhe Tumse Mohabbat Ho Gayi Hai,
    Mujhe Tumse Mohabbat Ho Gayi Hai,
Yeh Duniya Khubsurat Ho Gayi Hai,
Mujhe Tumse Mohabbat Ho Gayi Hai,
Khuda Se Rooj Tumko Mangta Hu,
Meri Chahat Ibadat Ho Gayi Hai,
Yeh Duniya Khubsurat Ho Gayi Hai,
Mujhe Tumse Mohabbat Ho Gayi Hai,
Woh Chera Chand Hai Aakhe Sitare,
Jami Phoolo Ki Janat Ho Gayi Hai,
Yeh Duniya Khubsurat Ho Gayi Hai,
Mujhe Tumse Mohabbat Ho Gayi Hai,
Bahut Din Se Tumhe Dekha Nahi Hai,
Chale Bhi Aao Mudat Ho Gayi Hai,
Yeh Duniya Khubsurat Ho Gayi Hai,
Mujhe Tumse Mohabbat Ho Gayi Hai
  1. Raat Aankhon Mein Dhali Palko Pe Jugnu Aaye,
    Ham Hawao Ki Tarha Jake Use Chu Aaye,
Bas Gayi Hai Mere Ehsaas Mein Yeh Kaisi Mehak,
Koi Khusbu Na Mein Lagau Teri Khusbu Aye,
Usne Chu Kar Mujhe Pathar Se Phir Insane Kiya,
Mudato Baad Meri Aakh Mein Asu Aye,
Meine Din Raat Khuda Se Yeh Dua Mangi Thi,
Koi Aahat Na Ho Dar Par Mere Jab Tu Aaye





  1. Sun li Jo Khuda Ne Woh Dua Tum To Nahi Ho,
    Darwaje Pe Dastak Ki Sada Tum To Nahi Ho,
Mehsus Kiya Tumko To Gili Hui Palke,
Bhige Huye Musam Ki Ada Tum To Nah Ho,
Darwaje Pe Dastak Ki Sada Tum To Nahi Ho,
Sunli Jo Khuda Ne Woh Dua Tum To Nahi Ho,
Anjani Si Raho Mein Nahi Koi Bhi Mera,
Kis Ne Mujhe Yu Apna Kaha Tum To Nahi Ho,
Darwaje Pe Dastak Ke Sada Tum To Nahi Ho,
Suli Jo Khuda Ne Woh Dua Tum To Nahi Ho,
Duniya Ko Belhaye Gile Sikwe Rahenge,
Duniya Ki Tarha Mujse Khafa Tum Toh Nahi Ho,
Darwaje Pe Dastak Ke Sada Tum To Nahi Ho,
Suli Jo Khuda Ne Woh Dua Tum To Nahi Ho
  1. Kabhi To Aasma Se Chand Utre Jaam Ho Jaye,
    Tumhare Naam Ki Ek Khubsurat Sham Ho Jaye,
Woh Mera Naam Sun Kar Kuch Jara Sharma Se Jate Hai,
Bahut Mumkin Hai Kaal Is Ka Naam Mahobat Ho Jaye,
Jara Sa Muskura Kar Haal Pucho Dil Behal Jaye,
Hamara Kaam Ho Jaye Tumhara Naam Ho Jaye,
Ujale Apni Ano Ke Hamare Saath Rehte Ho,
Na Jane Kis Gali Mein Jindagi Ki Shaam Ho Jaye






  1. Khush Rahe Ya Bahut Udaas Rahe,
    Zindagi Tere Aas Paas Rahe,
Aaj Hum Sab Ke Saath Khub Hanse,
Aur Phir Der Tak Udaas Rahe,
Zindagi Tere Aas Paas Rahe,
Khush Rahe Ya Bahut Udaas Rahe,
Raat Ke Raste Bhi Roshan Ho,
Haath Mein Chand Ka Gilas Rahe,
Aadmi Ke Liye Jururi Hai,
Koi Umeed Koi Aas Rahe,
Zindagi Tere Aas Paas Rahe,
Khush Rahe Ya Bahut Udaas Rahe




  1. Woh Nahi Mila To Malal Kya,
    Jo Gujar Gya So Gujar Gaya,
Use Yaad Kar Ke Na Dil Dukha,
Jo Gujar Gya So Gujar Gya,
Na Gila Kiya Na Khafa Huye,
Yuhi Raste Mein Juda Huye,
Na Tu Bewafa Na Mein Bewafa,
Jo Gujar Gya So Gujar Gya,

Use Yaad Kar Ke Na Dil Dukha,
Jo Gujar Gya So Gujar Gya,
Tujhe Etbar-o-Yakeen Nahi,
Naahi Duniya Itni Buri Nahi,
Na Malal Kar Mere Saath Aa,
Jo Gujar Gya So Gujar Gya,
Woh Wafaye Thi Ke Jafaye Thi,
Yeh Na Soch Kis Ki Khataye Thi,
Woh Tera Hai Usko Gale Laga,
Jo Gujar Gya So Gujar Gya,
Woh Nahi Mila To Malal Kya,
Jo Gujar Gya So Gujar Gaya,
Use Yaad Kar Ke Na Dil Dukha,
Jo Gujar Gya So Gujar Gya







  1. Jis Din Se Chala Hu Kabhi Mud Kar Nahi Dekha,
    Meine Koi Gujra Hua Manjar Nahi Dekha,
Pathar Mujhe Kehta Hai Mera Chahna Wala,
Mein Moom Hu Usne Mujhe Chu Kar Nahi Dekha,
Bewaqt Agar Jauga Sab Chauk Padenge,
Ek Umra Hui Din Mein Kabhi Ghar Nahi Dekah,
Yeh Phool Mujhe Koi Virasat Mein Mile Hai,
Tumne Mera Kaanto Bhara Bistar Nahi Dekha,
Jis Din Se Chala Hu Kabhi Mud Kar Nahi Dekha,
Meine Koi Gujra Hua Manjar Nahi Dekha
  1. Mohabbaton Mein Dikhawe Ki Dosti Na Mila,
    Agar Gale Nahi Milta To Haath Bhi Na Mila,
Gharo Pe Naam The Namo Ke Saath Ouhade The,
Bahut Talash Kiya Koi Admi Na Mila,
Taamam Rishto Ko Mein Ghar Pe Chhod Aaya Tha,
Phir Uske Baad Mujhe Koi Ajnabi Na Mila,
Bahut Ajeeb Hai Yeh Pubato Ki Duri Bhi,
Woh Mere Saath Raha Aur Mujhe Kabhi Na Mila,
Agar Gale Nahi Milta To Haath Bhi Na Mila,
Mohabbaton Mein Dikhawe Ki Dosti Na Mila

TUM BIN

Koi Fariyaad Tere Dil Me Dabi Ho Jaise
Koi Fariyaad Tere Dil Me Dabi Ho Jaise
Tune Aakho Se Koi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umra Kati Ho Jaise
Jaan Baki Hai Magar Saans Ruki Ho Jaise
Har Mulakat Pe Mehsus Yeh Hi Hota Hai
Mujh Se Kuch Teri Najar Puch Rahi Ho Jaise
Raah Chalet Huue Aksar Yeh Guma Hota Hai
Wo Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise

THE UNFORGETABLE

  1. Aaye Hain Samjhaane Log
    Hain Kitne Deewane Log

    Dair-o-haram Mein Chain Jo Miltha
    Kyon Jaathe Maikhaane Log

    Jaan Ke Sab Kuch, Kuch Bhi Na Jaane
    Hain Kitne Anjaane Log

    Waqt Pe Kaam Nahin Aathe Hain
    Ye Jaane Pehchaane Log

    Ab Jab Mujh Ko Hosh Nahin Hain
    Aaye Hain Samjhaane Log


  1. Bahut Pehle Se Un Qadmon Ki Aahat Jaan Letey Hai
    Tujhe Ae Zindagi Hum Door Se Pehchaan Letey Hain

    Tabiyat Apni Ghabraati Hai Jab Sunsaan Raaton Mein
    Hum Aise Mein Teri Yaadon Ki Chaadar Taan Lete Hain

    Meri Nazren To Aise Qaafiron Ka Jaan-o-imaan Hai
    Nigaahen Milte Hi Jo Jaam Aur Imaan Lete Hain

    'firaq' Aksar Badal Kar Bhesh Milta Hai Koi Qaatil
    Kabhi Hum Jaan Lete Hian Kabhi Pehchaan Lete Hain


  1. Dard Badhkar Fughan Na Ho Jaaye
    Ye Zameen Aasmaan Na Ho Jaaye

    Dil Mein Dooba Hua Jo Nashtar Hai
    Mere Dil Ki Zubaan Na Ho Jaaye

    Dil Ko Le Leejiye Jo Lena Hai
    Fir Ye Sauda Garan Na Ho Jaaye

    Aah Kije Magar Latif Tabhi
    Lab Tak Aakar Dhuaan Na Ho Jaaye

  1. Ek Na Ek Shamma Andhere Mein Jalaye Rakhiye
    Subah Hone Ko Hai Maahol Sajaaye Rakhiye

    Jinke Haathon Se Hume Zakm-e-neha Pahunchi Hai
    Wo Bhee Kehte Hain Ke Zakhmon Ko Chupaaye Rakhiye

    Kaun Jaane Ke Wo Kis Raah-guzar Se Guzre
    Har Guzar Raah Ko Phoolon Se Sajaaye Rakhiye

    Daaman-e-yaar Ki Zeenat Na Bane Har Ansoo
    Apni Palkon Ke Liye Kuch To Bachaaye Rakhiye


  1. Hum Hi Mein Thee Na Koi Baat, Yaad Hi Na Tumko Aa Sake
    Tumnay Hamein Bhula Diya Hum Na Tumhe Bhula Sake

    Tum Hi Na Sun Sake Agar Kissa-e-gham Sunega Kaun
    Kis Ki Zubaan Khulegi Phir Hum Na Agar Suna Sake

    Shauk-e-visaal Hain Yahan Lab Pe Sawaal Hai Yahan
    Kis Ki Majaal Hai Yahan Hum Se Nazar Mila Sake


  1. Jawan Hai Raat Sakiya Sharaab La Sharaab La
    Zara Si Pyaas To Bhuja Sharaab La Sharaab La

    Tere Shabab Par Sada Karam Rahey Bahaar Ka
    Tujhay Lage Meri Dua Sharaab La Sharaab La

    Yahan Koi Na Jee Saka Na Jee Sakega Hosh Mein
    Mitaa Dey Naam Hosh Ka Sharaab La Sharaab La

    Tera Bada Hi Shukriya Pilaaye Ja Pilaaye Ja
    Na Zikr Kar Hisaab Ka Sharaab La Sharaab La



  1. Kisi Ranjish Ko Hawa Do Ke Main Zinda Hoon Abhi
    Mujhko Ehsaas Dila Do Ke Main Zinda Hoon Abhi

    Mere Rukne Se Meri Saanse Bhi Ruk Jaayengi
    Faasile Aur Badha Do Ke Main Zinda Hoon Abhi

    Zehar Peene Ki To Aadat Thi Zamaane Waalon
    Ab Koi Aur Dawa Do Ke Main Zinda Hoon Abhi

    Chalti Raahon Mein Yoonhi Aankh Lagi Hai 'faakir'
    Bheed Logon Ki Hata Do Ke Main Zinda Hoon Abhi


  1. Raat Bhi Neend Bhi Kahaani Bhee
    Haaye Kya Cheez Hai Jawaani Bhee

    Dil Ke Sholon Se Padti Hai Sehra
    Zindagi Aag Bhee Hai Paani Bhee

    Khark Kya Kya Mujhe Nahin Kehti
    Kuch Sunoon Main Teri Zubaani Bhee

    Paas Rehna Kisi Ka Raat Ki Raat
    Mehmaani Bhee Mezbaani Bhee


  1. Tumne Sooli Pe Latakte Jise Dekha Hoga
    Waqt Aayega Wahi Shaksh Maseeha Hoga

    Khwaab Dekha Thaa Ke Sehra Mein Basera Hoga
    Kyaa Khabar Thi Ke Yahi Khwaab To Sachcha Hoga

    Main Fizaaon Mein Bikhar Jaaoonga Khushboo Bankar
    Rang Hoga Na Badan Hoga Na Chehra Hoga

  1. Yeh Mojeza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaaye Mujhe
    Ke Sang Tujhpe Gire Aur Zakhm Aaye Mujhe

    Wo Meharbaan Hai Tho Ikraar Kyoon Nahin Kartha
    Wo Badgumaan Hai Tho Sau Baar Aazmaaye Mujhe

    Wo Mera Dost Hai Saare Jahaan Ko Hai Maaloom
    Daga Kare Wo Kisi Se Tho Sharm Aaye Mujhe

    Main Apni Zaat Mein Neelam Ho Raha Hoon 'qateel'
    Gham-e-hayaat Se Keh Do Khareed Laaye Mujhe

THE LATEST

  1. Charaag Aaftaab Gum, Badi Haseen Raat Thee
    Shabaab Ki Naqaab Gum, Badi Haseen Raat Thee

    Mujhe Pila Rahe The Wo Ke Khud Hi Shamma Bujh Gayee
    Gilaas Gum, Sharaab Gum, Badi Haseen Raat Thee

    Likha Tha Jis Kitaab Mein Ke Ishq To Haraam Hai
    Huyee Wohi Kitaab Gum, Badi Haseen Raat Thee

    Labon Se Lab Jo Mil Gaye, Labon Se Lab Hi Sil Gaye
    Sawaal Gum, Jawaab Gum, Badi Haseen Raat Thee

  1. Jis Mod Par Kiye The Hum Intejaar Barson
    Us'se Lipat Ke Roye, Deewana-waar Barson

    Tum Gulsitan Se Aaye Zikre Khizaan Hilaaye
    Humne Kafas Mein Dekhi Fasle Bahaar Barson

    Hoti Rahee Hai Yun To Barsaat Aasuon Kee
    Uth'te Rahe Hain Phir Bhi Dil Se Gubaar Barson

    Wo Sang-e-dil Tha Koi Begaana-e-wafa Tha
    Karte Rahen Hai Jiska Hum Intezaar Barson

  1. Dhal Gaya Aaftaab Ae Saaqi
    La Pila De Sharaab Ae Saaqi

    Ya Suraahi Laga Mere Mooh Se
    Ya Ulat De Naqaab Ae Saaqi

    Maikada Chod Kar Kahan Jaaoon
    Hai Zamana Kharaab Ae Saaqi

    Jaam Bhar De Gunaahgaaron Ke
    Ye Bhi Hai Ik Sawaab Ae Saaqi

    Aaj Peene De Aur Peene De
    Kal Karenge Hisaab Ae Saaqi

  1. Shayad Main Zindagi Ki Sahar Le Ke Aa Gaya
    Qaatil Ko Aaj Apne Hi Ghar Le Ke Aa Gaya

    Taa Umr Dhoondta Raha Manzil Main Ishq Ki
    Anjaam Ye Ke Garde Safar Le Ke Aa Gaya

    Nashtar Hai Mere Haath Mein Kaandhon Pe Maikada
    Lo Main Ilaaje Dard-e-zigar Le Ke Aa Gaya

    'faakir' Sanam Maikade Mein Na Aata Main Lautkar
    Ik Zakhm Bhar Gaya Tha Idhar Le Ke Aa Gaya

  1. Dil Ke Deewaron Dar Pe Kya Dekha
    Bas Tera Naam Hi Likha Dekha

    Teri Aankhon Mein Humne Kya Dekha
    Kabhi Qaatil Kabhi Khuda Dekha

    Apnee Soorat Lagi Paryee Si
    Jab Kabhi Humne Aa'inah Dekha

    Haaye Andaaz Tere Rukne Ka
    Waqt Ko Bhi Ruka Ruka Dekha

    Tere Jaane Mein Aur Aane Mein
    Humne Sadiyon Ka Faasila Dekha

    Phir Na Aaya Khayaal Zannat Ka
    Jab Tere Ghar Ka Raasta Dekha
  1. Uss Mod Se Shuru Karen Phir Ye Zindagi
    Har Shay Jahan Haseen Thee, Hum Tum The Ajnabi

    Lekar Chale The Hum Jinhe Jannat Ke Khwaab The
    Phoolon Ke Khwaab The Wo Mohabbat Ke Khwaab The
    Lekin Kahan Hai Unmein Wo Pehle See Dilkashi

    Rehte The Hum Haseen Khayaalon Ki Bheed Mein
    Uljhe Huye Hain Aaj Sawaalon Ki Bheed Mein
    Aane Lagi Hai Yaad Wo Fursat Ki Har Ghadi

    Shaayad Ye Waqt Humse Koi Chaal Chal Gaya
    Rishta Wafa Ka Aur Hi Rangon Mein Dhal Gaya
    Ashkon Ki Chandini Se Thee Behtar Wo Dhoop Hi

  1. Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo
    Bhale Cheen Lo Mujhse Meri Jawaani
    Magar Mujhko Lauta Do Bachchpan Ka Saawan
    Wo Kaagaz Ki Kasthi Wo Baarish Ka Paani

    Mohalle Ki Sabse Nishaani Purani
    Wo Budhiya Jise Bachche Kehte The Naani
    Wo Naani Kee Baaton Mein Pariyon Ka Dera
    Wo Chehre Ke Jhuriyon Mein Sadiyon Ka Phera
    Bhulaaye Nahin Bhool Saqta Hai Koi
    Wo Choti See Raaten Wo Lambi Kahaani

    Kadi Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalna
    Wo Chidiya Wo Bulbul Wo Thithli Pakadna
    Wo Gudiya Ki Shaadi Pe Ladna Jhagadna
    Wo Jhoolon Se Girna, Wo Gir Ke Sambhalna
    Wo Pithal Ke Challon Ke Pyaare Se Tho'fe
    Wo Tuti Hui Chudiyon Ki Nishaani

    Kabhi Re't Ke Oonche Tilon Pe Jaana
    Gharonde Banana, Banaake Mitaana
    Wo Maasoom Chaahat Ki Tasveer Apni
    Wo Khwabon Khilono Ki Taabir Jaageer Apni
    Na Duniya Ka Gham Tha Na Rishton Ke Bandhan
    Badi Khoobsoorat Thi Wo Zindgaani

  1. Zindagi Tujhko Jiya Hai Koi Afsos Nahin
    Zehar Khud Maine Piya Hai Koi Afsos Nahin

    Maine Mujrim Ko Bhi Mujrim Na Kaha Duniya Mein
    Bas Yahi Zurm Kiya Hai Koi Afsos Nahin

    Meri Kismat Mein Jo Likkhe The Unhi Kaanton Se
    Dil Ke Zakhmon Ko Seeya Hai Koi Afsos Nahin

    Ab Gire Sang Ke Sishon Ki Hoon Baarish 'faakir'
    Ab Kafan Odh Liya Hai Koi Afsos Nahin

THE GOLD DISK

  1. Chale Bhii Aao Vo Hai Qabr-e-fani Dekhate Jaao
    Tum Apane Marane Vaale Kii Nishaanii Dekhate Jaao

    Abhii Kyaa Hai Kisii Din Khuu.n Rulaayegaa Ye Khaamoshii
    Zubaan-e-haal Ki Jadd-o-bayaanii Dekhate Jaao

    Guruur-e-husn Kaa Sadaqaa Ko_ii Jaataa Hai Duniyaa Se
    Kisii Kii Khaak Me.n Milatii Javaanii Dekhate Jaao

    Sune Jaate Na The Tum Se Mere Din Raat Ke Shikave
    Kafan Sarakaao Merii Be-zubaanii Dekhate Jaao

  1. Gam Mujhe Hasarat Mujhe Vahashat Mujhe Saudaa Mujhe
    Ek Dil Dekar Khudaa Ne De Diyaa Kyaa-kyaa Mujhe

    Ye Namaaz-e-ishq Hai Kaisaa Adab Kisakaa Adab
    Apane Paay-e-namaaz Par Karane Do Sajdaa Mujhe

    Dekhate Hii Dekhate Duniyaa Se Mai.n Uth Jaauu.ngaa
    Dekhatii Hii Dekhatii Rah Jaayegii Duniyaa Mujhe

  1. Kiyaa Hai Pyaar Jise Hamane Zindagii Kii Tarah
    Vo Aashanaa Bhii Milaa Hamase Ajanabii Kii Tarah

    Ba.daa Ke Pyaas Merii Us Ne Haath Chho.d Diyaa
    Vo Kar Rahaa Thaa Muravvat Bhii Dillagii Kii Tarah

    Kise Khabar Thii Ba.degii Kuchh Aur Taariikii
    Chhupegaa Vo Kisii Badalii Me.n Chaa.ndanii Kii Tarah

    Kabhii Na Sochaa Thaa Hamane "qateel" Us Ke Liye
    Karegaa Ham Pe Sitam Vo Bhii Har Kisii Kii Tarah






  1. Mujhase Milane Ke Vo Karataa Thaa Bahaane Kitane
    Ab Guzaaregaa Mere Saath Zamaane Kitane

    Mai.n Giraa Thaa To Bahut Log Ruke The Lekin
    Sochataa Huu.n Mujhe Aaye The Uthaane Kitane

    Jis Tarah Mai.n Ne Tujhe Apanaa Banaa Rakhaa Hai
    Sochate Ho.nge Yahii Baat Na Jaane Kitane

    Tum Nayaa Zakhm Lagaao Tumhe.n Is Se Kyaa Hai
    Bharane Vaale Hai.n Abhii Zakhm Puraane Kitane

  1. Na Ho Gar Aashanaa Nahii.n Hotaa
    But Kisii Kaa Khudaa Nahii.n Hotaa

    Tum Bhii Us Vaqt Yaad Aate Ho
    Jab Ko_ii Aasaraa Nahii.n Hotaa

    Dil Me.n Kitanaa Sukuun Hotaa Hai
    Jab Ko_ii Muddavaa Nahii.n Hotaa

    Ho Na Jab Tak Shikaar-e-naakaamii
    Aadamii Kaam Kaa Nahii.n Hotaa

    Zindagii Thii Shabaab Tak "seemab"
    Ab Ko_ii Saanehaa Nahii.n Hotaa

  1. Naamaa Gayaa Ko_ii Na Ko_ii Naamaabar Gayaa
    Terii Khabar Na Aa_ii Zamaanaa Guzar Gayaa

    Ha.nsataa Huu.n Yuu.n Ki Hijr Kii Raate.n Guzar Ga_ii.n
    Rotaa Huu.n Yuu.n Ki Lutf-e-duaa-e-sahar Gayaa

    Ab Mujh Ko Hai Qaraar To Sab Ko Qaraar Hai
    Dil Kyaa Thahar Gayaa Ki Zamaanaa Guzar Gayaa

    Yaa Rab Nahii.n Mai.n Vaaqif-e-rudaad-e-zindagii
    Itanaa Hii Yaad Hai Ki Jiyaa Aur Mar Gayaa

  1. Shab-e-gam Ai Mere Allaah Basar Bhii Hogii
    Raat Hii Raat Rahegii Ke Sahar Bhii Hogii

    Mai.n Ye Sunataa Huu.n Ke Vo Duniyaa Kii Khabar Rakhate Hai.n
    Jo Ye Sach Hai To U.nhe.n Merii Khabar Bhii Hogii

    Chain Milane Se Hai Un Ke Na Judaa Rahane Se
    Aakhir Ai Ishq Kisii Tarah Basar Bhii Hogii

  1. Us Kii Baate.n Bahaar Kii Baate.n
    Vaadii-e-laalaazaar Kii Baate.n

    Gul-o-shabanam Kaa Zikr Kar Na Abhii
    Mujhako Karanii Hai Pyaar Kii Baate.n

    Shekh Jii Mayakadaa Hai Kaabaa Nahii.n
    Yaa.n To Ho.ngii Khumaar Kii Baat

    Ishq Kaa Kaaravaa.n Chalaa Bhii Nahii.n
    Aur Abhii Se Gubaar Kii Baat

    Ye Qafas Aur Teraa Khayaal-e-hasii.n
    Is Pe Har Suu Bahaar Kii Baat

  1. Woh Dil Hii Kyaa Tere Milane Kii Jo Duaa Na Kare
    Mai.n Tujh Ko Bhuul Ke Zi.ndaa Rahuu.n Khudaa Na Kare

    Rahegaa Saath Teraa Pyaar Zindagii Banakar
    Ye Aur Baat Merii Zindagii Vafaa Na Kare

    Ye Thiik Hai Nahii.n Marataa Koii Judaaii Me.n
    Khudaa Kisii Se Kisii Ko Magar Judaa Na Kare

    Sunaa Hai Usako Mohabbat Duuaaye.n Detii Hai
    Jo Dil Pe Chot To Khaaye Magar Gilaa Na Kare

    Zamaanaa Dekh Chukaa Hai Parakh Chukaa Hai Use
    "Qateel" Jaan Se Jaaye Par Iltajaa Na Kare

TEJASWINI

  1. Raat Ghataye Jadu Khusboo,
    Jiski Zulfo Ke Peymane,
Dil Ke Barakh Par Dhundh Raha Hu,
Us Sada Cehre Ka Naam,
Tune Pehle Dekha Tha,
Yah Maine Ab Yeh Yaad Nahi,
Soch Raha Hu Kisko Du Mein,
Dil Ki Tabahi Ka Ilzam,
Bik Jaye Bazaar Me Hum Bhi,
Lekin Is Se Kya Hoga,
Jis Kimat Par Tum Milte Ho,
Utne Kaha Hai Apne Daam,
Tere Mere Beech Me,
Kitni Deware Hai Phir Bhi To,
Meri Akhe Sun Leti Hai,
Teri Akho Ka Peygam,
Hum Bhi Kuch Nadaan The Yaaro,
Kitne Khawab Saaja Behthe,
Waqt Bhala Kya Deta Hum Ko,
Waqt Ko Apne Kaam Se Kaam,
Jalti Bhujhti Yaaden Le Kar,
Jab Muzh Se Milti Hai Shaam,
Aksar Dil Ki Deewaro Par,
Likh Deta Hu Tera Naam

TARQIB

Chaand Bhi Dekha, Phool Bhi Dekha,
Badal, Bijli, Titli, Jugnu, Koi Nahi Hai Aysa,

Tera Husn Hai Jaisa,
Meri Nagha Ne Yeh Kaisa Khawab Dekha Hai,
Jamee Mein Chalta Hua Mahtaab Dekha Hai,

Meri Akho Ne Chuna Hai Tujhko Duniya Dekh Kar,
Kiska Chera Ab Mein Dekhu, Tera Chera Dekh Kar,

Neendh Bhi Dekhi, Khawaab Bhi Dekha,
Chudi, Bindiya, Darpan, Khusbu, Koi Nahi Hai Aysa,
Tera Pyar Hai Jaisa,

Rang Bhi Dekha, Roop Bhi Dekha,
Rasta, Manjil, Sahil, Mahfil, Koi Nahi Hai Aisa,
Tera Saath Hai Aisa,

Meri Akho Ne Chuna Hai Tujhko Duniya Dekh Kar,
Meri Akho Ne Chuna Hai Tujhko Duniya Dekh Kar,
Kiska Chera Ab Mein Dekhu, Tera Chera Dekh Kar,

Bahut Khusurat Hai Aakhe Tumhari,
Bana Legiye Inko Kismat Hamari,
Use Aur Kya Chahiye Zindagi Me,
Jise Mil Gaye Hai Mohabat Tumhari

TAJ MAHAL

  1. Ishq Kya Hai, Ishq Ibadat
    Ishq Hai Imaan
Ishq Jagaye, Phathar Mein Bhi
Dil Mein Ho, Jayse Arma
Sa Ni Dha Pa Ma Pa Dha Ma Ga Re
Ishq Mein Marna, Ishq Mein Jina
Ishq Ka daman, chood kabhi na
Ishq Ko Jisne, Jaan Liya Hai
Usne Rab Ko, Maan Liya Hai
Ishq Mein Khushio Ka Mausam Hai
Ishq Mein Asu, Ishq Mein Gam Hai
Ishq Mein Jo Bhi Khoya
Kho Deta, Apni Pehchan
Ishq Safar Hai, Ishq Musafir
Ishq Chipa Hai, Ishq Hai Jahir
Ishq Gazal Hai, Ishq Tarana
Ishq Ka Jadu, Sadiyo Purana
Ishq Mein Dil Khilte Hai
Yah Dil Ho Jate Viran

STOP

  1. Ek Khalish Dil Ki Yeh Kya Se Kya Kar Gayi,
    Khushiyo Ki Aakh Mein Barishe Bhar Gayi
    Log Apno Se Bhi Bekhabr Ho Gaye,
    Kushbuye Chhul Ke Shook Me Kho Gaye,
    Pake Jugna Zara Roshni Ke Liye,
    Dil Tarasta Hai Ab Zindagi Ke Liye,
Surkh Phoolo Ke Jo Naram Saaye Mile,
Apno Ki Shakal Mein Jo Paraye Mile,
In Ke Piche Zara Soch Ke Nagiye,
Kache Rango Ki Hai Titliya Dekhiye,
Ek Pal Hi Mila Tha Kushi Ke Liye,
Dil Tarasta Hai Ab Zindagi Ke Liye,
Ek Khwahish Mein Thi Sekdo Andhiya,
Pal Mein Bhikre Sabhi Rishto Ke Ashiya,
Pyase Lab Ka Yehi Sab Ko Hasil Mila,
Justju Dar Yaki Kushk Sahil Mile,
Kho Ke Neende Kisi Ajnabi Ke Liye,
Dil Tarasta Hai Ab Zindagi Ke Liye

SOZ

  1. Aaj Maine Aapna Phir Sauda Kiya,
    Aur Phir Mein Dur Se Dekha Kiya,
    Zindagi Bhar Mere Kam Aaye Asul,
    Ek Ek Karke Unhe Becha Kiya,
Kuch Kabhi Apni Wafao Me Bhi Thi,
Tumse Kya Kahte Ki Tumne Kya Kiya,
Ho Gayi Thi Dil Ko Kuch Umeed Si,
Khair Tumne Jo Kiya Aacha Kiya.

  1. Aap Bhi Aaye, Hum Ko Bhi Bulate Rahiye,
    Dosti Jurm Nahi, Dost Banate Rahye,
    Jahar Pe Jaye Aur Batye Amrit Sabko,
    Jakam Bhi Khaye Aur Geet Bhi Gate Rahiye,
    Wakt Ne Lut Le Logo Ki Tamannae Bhi,
    Khawab Jo Dekhye Auro Ko Dikhate Rahye,
    Shakal To Aapke Bhi Jahan Mein Hogi Koi,
    Kabhi Jayegi Tasvir, Banate Rahye.

  1. Ab Agar Aayo To Jane Ke Liye Mat Aana,
    Sirf Ehsaan Jatane Ke Liye Mat Aana,
    Maine Palko Pe Tamannaye Saja Rakhe Hai,
    Dil Mai Umeed Ki Soo Shame Jala Rakhi Hai,
    Yeh Hasi Shamme Buzhane Ke Liye Mat Aana,
    Pyar Ki Aag Me Janjire Phighal Sakti Hai,
    Chahne Walo Ki Takdire Badal Sakti Hai,
    Tum Ho Bebas Yah Batane Ke Liye Mat Aana,
    Ab Tum Aana Jo Tumhe Muzhse Mohabat Hai Koi,
    Mu6zhse Milne Ki Aagar Tumko Bhi Chahat Hai Koi,
    Tum Koi Rasam Nibhane Ke Liye Mat Aana.

  1. Ek Pal Ghamon Ka Dariya, Ek Pal Kushi Ka Dariya,
    Rukhta Nahi Kahi Bhi, Yeh Zindagi Ka Dariya,
    Aakhe Thi Woh Kisi Ki Yah Khawab Ke Zanjire,
    Awaj Thi Kisi Ki Yah Ragini Ka Dariya,
    Is Dil Ki Wadiyo Me Ab Khak Ud Rahi Hai,
    Bheta Yahi Tha Phele Ek Ashiki Ka Dariya,
    Kirno Me Hai Veh Lehre, Yah Lehro Me Hai Kirne,
    Dariya Ke Chadni Hai, Yah Chandni Ka Dariya.

  1. Kyo Dare Zindagi Mein Kya Hoga,
    Kuch Na Hoga To Tajruba Hoga,
    Hasti Aakho Mein Jhaak Kar Dekho,
    Koi Aasu Kahi Chupa Hoga,
    In Dino Na Umeed Sa Hu Main,
    Shayaad Usne Bhi Yeh Suna Hoga,
    Dekhkar Tumko Sochta Hu Main,
    Kya Kisi Ne Tumhe Chuya Hoga.

  1. Pyaas Ki Kaise Laaye Taab Koi,
    Nahi Darya To Ho Sarab Koi,
    Raat Bajti Thi Dur Shanaye,
    Roya Peekar Bahut Sharab Koi,
    Kaun Sa Zakham Kise Bhaksha Hai,
    Uska Rakhe Kha Hisab Koi,
    Phir Main Sunne Laga Hu Is Dil Ki,
    Aane Wala Hai Phir Ajaab Koi.

  1. Shaam Hone Ko Hai,
    Lal Suraj Smandar Mein Khone Ko Hai,
    Aur Uske Pare Kuch Parinde Kataar Banaye,
    Unhi Janglo Ko Chale,
    Jinke Pedo Ki Shakho Pe Hai Ghosle,
    Yeh Parinde Wahi Laut Kar Jayege, Aur So Jayege,
    Hum Hi Hairan Hai, Is Makano Ke Jangle Mein,
    Aapna Koi Bhi Thikana Nahi,
    Shaam Hone Ko Hai,
    Hum Kha Jayege.

  1. Tamanna Phir Machal Jaaye Agar Tum Milne Aa Jayo,
    Yeh Mausam Hi Badal Jaye Agar Tum Milne Aa Jayo,
    Mujhe Gum Hai Ki Meine Zindagi Mein Kuch Nahi Paya,
    Yeh Gum Dil Se Nakal Jaye Agar Tum Milne Aa Jayo,
    Nahi Milte Ho Mujhse Tum To Sab Humdard Hai Mere,
    Zamana Mujhse Jal Jaye Agar Tum Milne Aa Jayo,
    Yeh Dunya Bhar Ke Jhagde Ghar Ke Kisse Kam Ke Baate,
    Balaa Har Ek Tal Jaye Agar Tum Milne Aa Jayo.

  1. Tum Baithe Ho Lekin Jate Dekh Raha Hu,
    Main Tanhai Ke Din Aate Dekh Raha Hu,
    Aane Wale Lamhe Se Dil Sehma Hai,
    Tumko Bhi Darte Ghabrate Dekh Raha Hu,
    Kab Yaado Ka Jakham Bhare Kab Daag Mite,
    Kitne Din Lagte Hai Bhulate Dekh Raha Hu,
    Uski Akho Me Bhi Kajal Faila Hai,
    Main Bhi Mudke Jate Jate Dekh Raha Hu.

SOMEONE SOMEWHERE

  1. Aadmi Aadmi Ko Kya Degaa
    Jo Bhi Dega Wohi Khuda Dega

    Mera Qaatil Hi Mera Munsib Hai
    Kya Mere Haq Mein Faisla Dega

    Zindagi Ko Kareeb Se Dekho
    Iska Chehra Tumhe Rulaa Dega

    Hamse Pucho Dosthi Ka Silaa
    Dushmanon Ka Bhi Dil Hilaa Dega

    Ishq Ka Zehar Pee Liya 'faakir'
    Ab Maseeha Bhi Kya Dawa Dega

  1. Ab Ke Barsaat Ki Rut Aur Bhi Bhadkili Hai
    Jishm Se Aag Nikalti Hai, Kaban Gili Hai

    Sonchta Hoon Ke Ab Anjaam-e-safar Kya Hoga
    Log Bhi Kaanch Ke Hain, Raah Bhi Pathrili Hai

    Pehle Rag-rag Se Meri Khoon Nichoda Us'sne
    Ab Ye Kehtha Hai Ke Rangat Hi Meri Peelee Hai

    Mujhko Be-rang Hi Na Karde Kahin Rang Itne
    Sabz Mausam Hai, Hawa Surkh, Fizaan Gili Hai

  1. Dekha To Mera Saaya Bhi Mujhse Juda Mila
    Socha To Har Kisi Se Mera Sil-sila Mila

    Sehar-e-wafa Mein Ab Kise Ehl'-e-wafa Kahen
    Humse Gale Mila To Wo Hi Be-wafa Mila

    Furshat Kise Thi Jo Meri Haalaath Poochchta
    Har Shakhs Apne Baare Mein Kuch Sonchtha Mila

    Ussne To Khair Apno Se Moda That Mooh Haya
    Maine Ye Kya Kiya Ke Main Gairon Se Jaa Mila

  1. Dil Hii To Hai Na Sa.ng-o-khisht Dard Se Bhar Na Aaye Kyuu.n
    Roe.nge Ham Hazaar Baar Koii Hame.n Sataaye Kyuu.n

    Dair Nahii.n Haram Nahii.n Dar Nahii.n Aastaa.n Nahii.n
    Baithe Hai.n Rahaguzar Pe Ham Gair Hame.n Uthaaye Kyuu.n


    Qaid-e-hayaat-o-band-e-gam Asl Me.n Dono.n Ek Hai.n
    Maut Se Pahale Aadamii Gam Se Najaat Paaye Kyuu.n


    Haa.n Vo Nahii.n Khudaaparast, Jaao Vo Bevafaa Sahii
    Jisako Ho Diin-o-dil Aziiz, Usakii Galii Me.n Jaaye Kyuu.n


    "ghalib"-e-khastaa Ke Bagair Kaun Se Kaam Band Hai.n
    Roiie Zaar-zaar Kyaa, Kiijie Haaye-haaye Kyuu.n

  1. Din Guzar Gaya, Aitbaar Mein
    Raat Kat Gayi Intezaar Mein

    Wo Maza Kahan Basle Yaat Mein
    Lutf Jo Milaa Intezaar Mein

    Unki Ik Nazar Kaam Kar Gayi
    Hosh Ab Kahan Hoshiyar Mein

    Mere Kabze Mein Aaiyeena To Hai
    Main Hoon Aapke Ikhtiyaar Mein

    Aankh To Uthee Phool Ki Taraf
    Dil Ulazh Gaya Husn-haar Mein

    Tumse Kya Kahen, Kitne Gam Sahen
    Hamne Be-wafa Tere Pyaar Mein

    Fikr-e-aashiyaan Har Khizaam Ki
    Aashiyaan Jalaa Har Bahaar Mein

    Kis Tarah Ye Gham Bhool Jaaye Hum
    Wo Juda Hua Ishtihaar Mein

  1. Faasila To Hai Magar, Koi Faasila Nahin
    Mujhse Tum Juda Sahi, Dil Se To Juda Nahin

    Aasmaan Ki Fiqr Kya, Aasmaan Khafaa Sahee
    Aap Ye Bataaye'e Aap To Khafa Nahin

    Kashtiyaan Nahin To Kya, Hausle To Paas Hain
    Keh Do Na-khudaaon Se, Tum Koi Khuda Nahin

    Lijiye Bula Liya, Aapko Khayaalon Mein
    Ab To Dekhiye Hamen, Koi Dekhta Nahin

    Aaeeye Charaag-e-dil, Aaj Hi Jalaayen Hum
    Kaisi Kal Hawa Chali, Koi Jaanta Nahin


  1. Koi Samjhega Kya Raz-e-gulshan
    Jab Taq Uljhe Na Kaanton Se Daaman

    Yaq-ba-yaq Saamne Aana Jaana
    Ruk Na Jaaye Kahin Dil Ki Dhadkan

    Gul To Gul-zaar Taq Chun Liye Hain
    Fir Bhi Khaali Hai Khurchi Ka Daaman

    Kitni Aara'ishyen Aashiyaana
    Toot Jaaye Na Nasha Fir Nashe Mein

    Hashmaten Aashiyaana Bana Dee
    Barf Ko Dosth Samjhoon Ke Dushman

  1. Mere Dukh Ki Koi Dawa Na Karo
    Mujhko Mujhse Abhi Juda Na Karo

    Na-khuda Ko Khuda Kaha Hai To Fir
    Doob Jaao Khuda-khuda Na Karo

    Ye Sikhaya Hai Dosthi Ne Hame
    Dosth Bankar Kabhi Wafa Na Karo

    Ishq Hai Ishq Ye Mazaq Nahin
    Chand Lamhon Mein Faishlaa Na Karo

    Aashiqi Ho Ke Bandagi 'faakir'
    Be-dili Se To Ye Fida Na Karo

  1. Meri Zindagi Kisi Aur Ki, Mere Naam Ka Koi Aur Hai
    Mera Naqsh Hai Sar-e-aayina, Pase Aayina Koi Aur Hai

    Meri Dhadkanon Mein Hai Chaapsi, Ye Judaaee Bhi Hai Milaapsee
    Mujhe Kya Patha, Mere Dil Batha, Mere Saath Kya Koi Aur Hai

    Na Gaye Dino Ko Khabar Meri, Na Shareeke Haal Nazar Teri
    Tere Desh Mein, Mere Bhesh Mein, Koi Aur Tha, Koi Aur Hai

    Wo Meri Taraf Nigraan Rahe, Mera Dhyaan Jaane Kahan Rahe
    Meri Aankh Mein Kai Sooraten, Mujhe Chaahta Koi Aur Hai

SILSILE

  1. Dard Apnaata Hai Paraaye Kaun
    Kaun Sunta Hai Aur Sunaaye Kaun

    Kaun Dohraaye Puraani Baten
    Gham Abhi Soya Hai Jagaaye Kaun

    Wo Jo Apne Hain, Kya Wo Apne Hain
    Aur Dukh Jhele, Aazmaayen Kaun

    Ab Sukoon Hai To Bhoolne Mein Hai
    Lekin Us Shaksh Ko Bhulaaye Kaun

    Aaj Fir Dil Hai Kuch Udaas-udaas
    Dekhiye Aaj Yaad Aaye Kaun

  1. Dard Ke Phool Bhi Bikhar Jaate Hain
    Zakhma Kaise Bhi Ho Bhar Jaate Hain

    Jab Dareeche Mein Bhi Ab Koi Nahin Aur Hum Bhi
    Sar Jhukaaye Huye Chupchaap Guzar Jaaten Hain

    Raasta Roke Khadi Hai Yahi Uljhan Kabse
    Koi Pooche To Kehen Kya Ki Kidhar Jaate Hain

    Naram Awaaz, Bhali Baaten Muhazzab Lehze
    Pehli Barish Mein Hi Ye Rang Utar Jaate Hain

  1. Jaate Jaate Wo Mujhe Achchhi Nishaani De Gaya
    Umr Bhar Dohraoonga Aisi Kahaani De Gaya

    Uss Se Main Kuch Paa Sakoon Aisi Kahan Ummeed Thi
    Gham Bhi Shaayad Wo Baraaye Meharbaani De Gaya

    Sab Hawaaen Le Gaya Mere Samander Ki Koi
    Aur Mujhko Ek Kashti Baadbaani De Gaya

    Khair Main Pyaasa Raha, Par Usne Itna To Kiya
    Mere Palkon Ki Kataron Ko Wo Paani De Gaya

  1. Dariya Ka Saahil Ho, Poore Chaand Ki Raat Ho
    Aur Tum Aao, Kabhi Yoon Bhi To Ho

    Pariyon Ki Mehfil Ho, Koi Tumhari Baat Ho
    Aur Tum Aao, Kabhi Yoon Bhi To Ho

    Ye Naram Mulaayam Thandi Hawaayen, Jab Ghar Se Tumhaare Guzre
    Tumhari Khushboo Churaayen, Mere Ghar Le Aayen, Kabhi Yoon Bhi To Ho

    Sooni Har Mehfil Ho, Koi Na Mere Saath Ho
    Aur Tum Aao, Kabhi Yoon Bhi To Ho

    Ye Baadal Aise Toot Ke Barse, Mere Dil Ki Tarah Milne Ko,
    Tumhara Dil Bhi Tarse, Tum Niklo Ghar Se, Kabhi Yoon Bhi To Ho

    Tanhaai Ho Dil Do, Boonde Hon Barsaat Ho Aur Tum Aao.

  1. Main Bhool Jaaoon Tumhe, Ab Yahi Munaasib Hai
    Magar Bhoolna Bhi Chaahoon To Kis Tarah Bhooloon
    Ke Tum To Fir Bhi Haqikat Ho Koi Khwaab Nahin
    Yahan To Dil Ka Ye Aalam Hai Kyaa Kahoon 'kambakht'
    Bhula Saka Na Ye Wo Silsila Jo Thaa Hi Nahin
    Wo Ik Khyaal Jo Awaaz Tak Gaya Hi Nahin
    Wo Ek Baat Jo Main Keh Nahin Saka Tumse
    Wo Ek Rawt Jo Hum Mein Kabhi Raha Hi Nahin
    Mujhe Hai Yaad Wo Sab Jo Kabhi Huwa Hi Nahin
    Agar Ye Haal Hai Dil Ka To Koi Samjhaaye
    Tumhe Bhulaana Bhi Chaahoon To Kis Tarah Bhooloon
    Ke Tum To Fir Bhi Hakikat Ho Koi Khwaab Nahin

  1. Mere Dil Ne Kaha, Ae Diwaane Bata
    Jab Se Koi Mila, Tu Hai Khoya Huwa,
    Ye Kahani Hai Kya, Hai Ye Kyaa Silsila, Ae Diwaane Bata

    Maine Dil Se Kaha, Ae Diwaane Bata
    Dhadkane Mein Chupi, Kaisi Awaz Hai
    Kaisa Ye Geet Hai Kaisa Ye Saaz Hai,
    Kaisi Ye Baat Hai, Kaisa Ye Raaza Hai, Ae Diwaane Bata

    Mere Dil Ne Kaha , Jab Se Koi Mila
    Chaand Taare Fizaan, Phool Bhanwaare Hawa
    Ye Hansi Waadiyaan, Neela Ye Aasmaan
    Sab Hai Jaise Naya, Mere Dil Ne Kaha
    Maine Dil Se Kaha, Mujhko Ye To Bata,
    Jo Hai Tujhko Mila, Usme Kyaa Baat Hai
    Kya Hai Jaadoogari, Kaun Hai Wo Pari, Ae Diwaane Bata

    Na Wo Koi Pari, Na Koi Mehjabin
    Na Wo Duniya Mein Sabse Hai Zyaada Haseen,
    Bholibhaali Si Hai, Seedhi Saadhi Si Hai,
    Lekin Usme Adaa Ek Niraali Si Hai
    Uske Bin Mera Jeena Hi Bekaar Hai,
    Maine Dil Se Kaha, Baat Itni Si Hai,
    Ki Tujhe Pyuaar Hai Mere Dil Ne Kaha Mujhko Ikraar Hai,
    Haan Mujhe Pyaar Hai.

  1. Mujhko Yakeen Hai Sach Kehti Thi Jo Bhi Ammi Kehti Thi
    Jab Mere Bachpan Ke Dine The, Chaand Mein Pariyaan Rehti Thee

    Ek Ye Din Jab Apnon Ne Bhi Humse Jnaata Tod Liya
    Ek Wo Din Jab Ped Ki Shaakhen Bojh Hamara Sehti Thee

    Ek Ye Din Jab Saari Sadken Ruthi Ruthi Lagti Hain
    Ek Wo Din Jab Aao Khele Saari Galiyan Kehti Thee

    Ek Ye Din Jab Jaagi Raaten Diwaaron Ko Takti Hain
    Ek Wo Din Jab Shaamon Ko Bhi Palken Bojhal Rehti Thee

    Ek Ye Din Jab Laakhon Gham Aur Kaal Pada Hai Aansoon Ka
    Ek Wo Din Jab Ek Zara Sa Baat Pe Nadiyaan Behti Thee


  1. Sach Ye Hai Bekaar Mein Gham Hota Hai
    Jo Chaaha Tha Duniya Mein Kam Hota Hai

    Dhalta Suraj Faila Jangal Rasta Gum
    Humse Pucho Kaisa Aalam Hota Hai

    Gairon Ko Kab Fursat Hai Dukh Dene Ki
    Jab Hota Hai Koi Hamdum Hota Hai

    Zakhm To Humne In Aankhon Se Dekhen Hain
    Logon Se Sunte Hain Marham Hota Hai

    Zehan Ki Shaakhon Par Ashaar Aa Jaaten Hain
    Jab Teri Yaadon Ka Mausam Hota Hai

SHIVA

  1. Har Har Har Mahadev,
    Shiv Shankar Adi Dev,
    Parmeshvar Akhileshvar,
    Tandav Priye Shashishesvar,
    Vishvdhaar Vishvnath,
    Gangadhar Dheernath,
    Jatajut Chandradhari,
    Tennan Ke Hitkari,
    Goripati Nandieshwar,
    Shaleshwar Jagadishwar

  1. Hey Shiv Shankar Hey Karunakar,
    Suniye Arj Hamari,

    Bhav Sagar Se Par Utaro,
    Aaye Sharan Tihari,

    Chandra Lalat Bhabut Ramaye,
    Gatgambar Hari,

    Karn Mein Damru Gale Bhujanga,
    Nandi Kharo Dware,

    Hey Ganga Dhar Daras Dikha Do,
    Hey Bhole Bhandari,

    Janam Maran Ke Tum Ho Swami,
    Hey Shankar Abhilashi,

    Kan Kan Mein Hai Rup Tumhara,
    Hey Bhole Kailashi,

    Charan Sharan Mein Aaya Jo Bhi,
    Rakhyo Laaj Hamari

Satnam Sri Wahe Guru,

  1. Satnam Sri Wahe Guru,
    Satnam Sri Wahe Guru,

    Ehee Naam Hai Sahara,
    Ehee Naam Hai Adhara,

    Satnam Sri Wahe Guru,
    Satnam Sri Wahe Guru,

    Muk Jande Ne Jism Ta,
    Par Aatma Amar Hai,

    Jide Ang Sang Prabhu Hai,
    Onu Phir Kisda Daar Hai

SARFAROSH

Hosh Walo Ko Khabar Kya Bekudi Kya Cheej Hai
Ishq Kijiye Phi Samjheye Zindagi Kya Cheej Hai

Un Se Nazre Kya Mili Rshan Phijaye Ho Gaye
Aaj Janna Pyar Ki Jadugari Kya Cheej Hai

Khuli Julfo Ne Sikhayi Musamo Ko Shayari
Jhukti Aakho Ne Bataya Maykashi Kya Cheej Hai

Hum Labo Se Kayh Na Paye Unse Hale Dil Kabhi
Aur Wo Samjhe Nahi Yeh Khamoshi Kya Cheej Hai

SAMVEDANA

  1. Chaurahe Par Lutta Cheer,
    Pyade Se Pit Gaya Wajir,
    Chalu Aakhri Chaal Ki Baji Chod Virakti Rachau Main,
    Raah Kaun Se Jau Main,

    Sapna Jaanma Aur Mar Gaya,
    Madhu Ritu Mein Hi Baag Jhar Gaya,
    Tinke Bikhare Huye Batoru Ya Nav Saristi Sajau Main,
    Raah Kaun Si Jayu Main,

    Do Din Mile Udhaar Mein,
    Ghaate Ke Vayapar Mein,
    Shan Shan Ka Hisab Jodu,
    Ya Punji Shesh Lutau Main,
    Rah Kaun Si Jayu Main.

  1. Door Kahin Koi Rota Hai,
    Tan Par Pehra, Bhatak Raha Man,
    Saathi Hai Kaival Sunapan,
    Bichud Gaya Kya Savajan Kisi Ka,
    Krandan Sada Karun Hota Hai,

    Janam Divas Par Hum Ithalate,
    Kyu Na Maran Tyohaar Manate,
    Aantim Yatra Ke Avsar Par,
    Aasu Ka Aashkun Hota Hai,

    Aantar Roye, Aakh Na Roye,
    Dhul Jayege Savapan Sanjoye,
    Chalna Bhare Vishwa Mein,
    Keval Spana Hi To Sach Hota Hai,

    Is Jeevan Se Mrityu Bhali Hai,
    Aatankit Jab Gali Gali Hai,
    Main Bhi Rota Aaspaas Jab,
    Koi Kahi Nahi Hota Hai,
    Door Kahin Koi Rota Hai.



  1. Ek Baras Beet Gaya,
    Jhulsata Jaith Maas,
    Sharad Chandni Udaas,
    Siski Bharte Sawan Ka,
    Antar Ghat Reet Gaya,
    Ek Baras Beet Gaya,

    Seekchon Mein Simta Jaag,
    Kintu Vikal Pran Vinag,
    Dharti Se Ambar Tak,
    Gunj Mukti Geet Gaya,
    Ek Baras Beet Gaya,

    Path Niharte Nayan,
    Ginte Din, Pal Chin,
    Laut Kabhi Aayega,
    Maan Ka Jo Meet Gaya,
    Ek Baras Beet Gaya.

  1. Jeevan Beet Chala,
    Kaal, Kaal Karte, Aaj,
    Haath Se Nikle Sare,
    Bhoot Bhavishyat Ki Chinta Mein,
    Vartaman Ki Baji Hare,
    Pehra Koi Kaam Na Aaya,
    Rasghat Reet Chala,
    Jeevan Beet Chala,
    Hani - Labh Ke Paldo Mein,
    Tulta Jeevan Vayapar Ho Gaya,
    Maul Laga Bikne Wale Ka,
    Bina Bika Bekar Ho Gaya,
    Mujhe Haat Mein Chod Akela,
    Ek Ek Kar Meet Chala,
    Jevan Beet Chala




  1. Kadam Milakar Chalna Hoga,
    Badhaye Aati Hai Aaye,
    Ghire Praly Ki Ghor Ghataye,
    Paavo Ke Niche Aangare,
    Sir Par Bares Yadi Javalaye,
    Nij Hitho Se Hanste Hanste,
    Aag Laga Kar Jalna Hoga,
    Kadam Milakar Chalna Hoge,
    Hasye Rudan Mein, Tufano Mein,
    Amar Asankhaye Balidano Mein,
    Udyano Mein, Virano Mein,
    Aapmano Mein, Sammano Mein,
    Unnat Mastak , Ubhra Sinaa,
    Peedayo Mein Palna Hoga,
    Kadam Milakar Chalna Hoga,
    Ujiyaro Mein, Aandhkar Mein,
    Kal Kachar Mein, Beech Dhar Mein,
    Ghoor Ghrinaa Mein, Puut Payaar Mein,
    Shanik Jeet Mein, Dergha Haar Mein,
    Jeevan Ke Shat Shat Aakarshak,
    Aarmano Ko Dalna Hoga,
    Kadam Milakar Chalna Hoga.

  1. Kya Khoya, Kya Paya Jag Mein,
    Milte Aur Bichadte Maag Mein,
    Mujhe Kisi Se Nahi Shikayat,
    Yadhyapi Chala Gaya Pag Pah Main,
    Ek Darishti Beeti Par Dale,
    Yado Ki Potali Tatole,

    Parithvi Lakho Varsh Purani,
    Jevaan Ek Anant Kahani,
    Par Tan Ki Apni Semaye,
    Yadhyapi Soo Shardon Ki Vani,
    Itna Kafi Hai Aantim Dastak,
    Par Khud Darwaja Khole,
    Janam-maran Ka Avirt Phera,
    Jevaan Banjaro Ka Dera,
    Aaj Yah, Kal Kaha Kauch Hai,
    Kaun Janta, Kidhar Sawera,
    Aandhiyara Aakash Asemit,
    Prano Ke Pankho Ko Toole,
    Aapne Hi Maan Se Kuch Boole.

SAJDA

  1. Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaayega
    Waqt Ka Kya Hai Guzarta Hai Guzar Jayega

    Itna Manoos Na Ho Khilwat-e-gham Se Apni
    Tu Kabhi Khud Ko Bhi Dekhega To Dar Jayega

    Tum Sar-e-raah-e-wafa Dekhte Reh Jaoge
    Aur Woh Baam-e-rifaqat Se Utar Jayega

    Zindagi Teri Ata Hai To Yeh Jaane Wala
    Teri Bakhshish Teri Dahleez Pe Dhar Jayega

  1. Jo Bhee Bura Bhala Hai Allah Janta Hai
    Bande Ke Dil Mein Kya Hai Allah Janta Hai

    Yeh Farsh-o-arsh Kya Hai Allah Janta Hai
    Pardon Mein Kya Chhupa Hai Allah Janta Hai

    Jaakar Jahaan Se Koi Wapas Nahin Hai Aata
    Woh Kaunsi Jagah Hai Allah Janta Hai

    Neki-badi Ko Apnee Kitna Hi Tu Chupaaye
    Allah Ko Sab Pata Hai Allah Janta Hai

    Ye Dhoop-chaon Dekho Ye Subah-shaam Dekho
    Sab Kyoon Ye Ho Raha Hai Allah Janta Hai

    Kismat Ke Naam Ko To Sab Jaante Hain Lekin
    Kismat Mein Kya Likha Hai Allah Janta Hai

  1. Dard Se Mera Daaman Bharde Ya Allah
    Phir Chahe Deewana Karde Ya Allah

    Maine Tujh Se Chaand Sitaare Kab Maange
    Roshan Dil Bedaar Nazar De Ya Allah

    Suraj Si Ek Cheez To Hum Sab Dekh Chuke
    Sachmuch Ki Ab Koi Saher De Ya Allah

    Ya Dharti Ke Zakhmon Par Marham Rakhde
    Ya Mera Dil Patthar Kar De Ya Allah

  1. Dhoop Mein Niklo Ghataaon Mein Naha Kar Dekho
    Zindagee Kya Hai Kitaabon Ko Hataakar Dekho

    Wo Sitaaraa Chamakane Do Yoonhee Aankhon Mein
    Kya Zarooree Hai Us'e Jism Banaakar Dekho

    Pattharon Mein Bhee Zubaan Hoti Hai Dil Hota Hai
    Apane Ghar Ke Dar-o-deewaar Sajaakar Dekho

    Faasilaa Nazaron Ka Dhokhaa Bhee To Ho Saktaa Hai
    Wo Mile Ya Na Mile Haath Badhaakar Dekho

  1. Dhooaan Banake Fizaan Mein Udaa Diyaa Mujhko
    Main Jal Raha Tha Kisi Ne Bhjha Diya Mujhko

    Khada Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harf Liye
    Sawaal Ye Hai Kitaabon Ne Kya Diya Mujhko

    Safed Sang Kee Chaadar Lapet Kar Mujhpar
    Faseene Shehar Se Kisi Ne Saja Diya Mujhko

    Main Ek Zarra Bulandi Ko Choone Nikla Thaa
    Hawa Ne Tham Ke Zameen Par Gira Diya Mujhko

  1. Dil Mein Ab Dard-e-mohabbat Ke Siwa Kuch Bhi Nahin
    Zindagi Meri Ibaadat Ke Siva Kuch Bhi Nahin

    Main Teri Baargah-e-naaz Mein Kya Pesh Karoon
    Meri Jholi Mein Mohabbat Ke Siwa Kuch Bhi Nahin

    Aye Khuda Mujh Se Na Le Mere Gunaahon Ka Hisaab
    Mere Paas Ashq-e-nadamat Ke Siwa Kuch Bhi Nahin

    Woh To Mit Kar Mujhe Mil Hi Gayee Rahat Warna
    Zindagi Ranj-o-museebat Ke Siwa Kuch Bhi Nahin


  1. Gham Ka Khazana Tera Bhi Hai Mera Bhi
    Ye Nazraana Tera Bhi Hai Mera Bhi

    Apne Gam Ko Geet Bana Kar Gaa Lena
    Raag Purana Tera Bhi Hai Mera Bhi

    Tu Mujhko Aur Main Tujhko Samjhaaoon Kya
    Dil Deewana Tera Bhi Hai Mera Bhi

    Shehar Mein Galiyon Galiyon Jiska Charcha Hai
    Wo Afsaana Tera Bhi Hai Mera Bhi

    Maikhaane Kee Baat Na Kar Waaiz Mujhse
    Aana-jaana Tera Bhi Hai Mera Bhi

  1. Har Taraf Har Jagah Beshumaar Aadmee
    Phir Bhi Tanhaaiyon Ka Shikaar Aadmee

    Subah Se Shaam Tak Bojh Dhotaa Hua
    Apanee Hi Laash Ka Khud Mazaar Aadmee

    Har Taraf Bhaagate Daudate Raaste
    Har Taraf Aadmee Ka Shikaar Aadmee

    Roz Jeetaa Hua Roz Martaa Hua
    Har Naye Din Nayaa Intezaar Aadmee

    Zindagee Ka Muqaddar Safar Dar Safar
    Aakhree Saans Tak Beqaraar Aadmee

  1. Kisko Qaatil Main Kahoon Kisko Maseehaa Samajhoon
    Sab Yahaan Dost Hee Baithe Hain Kise Kya Samajhoon

    Wo Bhi Kya Din The Ke Har Vaham Yakeen Hota Tha
    Ab Haqeekat Nazar Aaye To Use Kya Samajhoon

    Dil Jo Tootaa To Kai Haath Duaa Ko Utthe
    Aise Mahaul Mein Ab Kis'ko Paraayaa Samajhoon

    Zulm Ye Hai Ke Hai Yaqtaa Teri Beganaaravee
    Lutf Ye Hai Ke Main Ab Tak Tujhe Apana Samajhoon

  1. Mausam Ko Ishaaron Se Bula Kyoon Nahin Lete
    Roothaa Hai Agar Wo To Manaa Kyoon Naheen Lete

    Deewaana Tumhaaraa Koi Gair Naheen
    Machalaa Bhi To Seene Se Lagaa Kyoon Naheen Lete

    Khat Likhkar Kabhi Aur Kabhi Khat Ko Jalaakar
    Tanhaaee Ko Rangeen Bana Kyoon Naheen Lete

    Tum Jaag Rahe Ho Mujhako Achchhaa Naheen Lagtaa
    Chupake Se Meri Neend Churaa Kyoon Naheen Lete

  1. Meri Tasveer Mein Rang Aur Kisi Ka To Nahin
    Gher Le Mujhko Sab Aankhen Main Tamasha To Nahin

    Zindagi Tujhse Se Har Ik Saans Pe Samjhauta Karoon
    Shauk Jeene Ka Hai Mujhko Magar Itna To Nahin

    Rooh Ko Dard Mila Dard Ko Aankhen Na Mili
    Tujhko Mehsoos Kiya Hai Tujhse Dekha To Nahin

    Sonchte Sonchte Dil Doobne Lagta Hai Mera
    Zehan Kee Tay Mein 'muzaffar' Koi Dariya To Nahin

  1. Mili Hawaon Mein Udne Ki Wo Saza Yaaro
    Ke Main Zameen Ke Rishton Se Kat Gaya Yaaro

    Woh Be-khayal Musafir Main Raasta Yaaro
    Kahan Tha Bas Mein Mere Usko Rokna Yaaro

    Mere Kalam Pe Zamane Kee Gard Aisee Thee
    Ke Apne Baare Mein Kuch Bhi Na Likh Saka Yaaro

    Tamaam Sheher Hi Jiskee Talaash Mein Gum Tha
    Main Uske Ghar Ka Pata Kis'se Poochta Yaaro


  1. Tere Jalwe Ab Mujhe Harsoo Nazar Aane Lage
    Kaash Yeh Bhi Ho Ke Mujh Mein Tu Nazar Aane Lage

    Ibteda Yeh Thee Ke Dekhee Thee Khushi Ki Ek Jhalak
    Inteha Yeh Hai Ke Gham Harsoo Nazar Aane Lage

    Beqarari Badhte Badhte Dil Ki Fitrat Ban Gayee
    Shayed Ab Taskeen Ka Pehloo Nazar Aane Lage

    Khatm Karde Ae "saba" Ab Shaam-e-gham Ki Daastan
    Dekh Un Aankhon Mein Bhee Ansoo Nazar Aane Lage

  1. Tujhse Milne Ki Saza Denge Tere Shehar Ke Log
    Ye Wafaon Ka Sila Denge Tere Shehar Ke Log

    Kya Khabar Thee Tere Milne Pe Qayamat Hogi
    Mujhko Deewaana Bana Denge Tere Shehar Ke Log

    Teri Nazaron Se Giraane Ke Liye Jaane-haya
    Mujhko Mujrim Bhi Bana Denge Tere Shehar Ke Log

    Kehke Deewana Mujhe Maar Rahe Hain Patthar
    Aur Kya Iske Siwa Denge Tere Shehar Ke Log

SAHAR

  1. Charaag-e-ishq Jalaane Kii Raat Aa_ii Hai
    Kisii Ko Apanaa Banaane Kii Raat Aaii Hai

    Falak Ka Chaa.dd Bhii Sharmaa Ke Muu.nh Chhupaayegaa
    Naqaab Rukh Se Uthaane Kii Raat Aa_ii Hai

    Nigaah-e-saaqii Se Paiham Chhalak Rahii Hai Sharaab
    Pi_o Ki Piine-pilaane Kii Raat Aa_ii Hai

    Vo Aaj Aa_e Hai.n Mahafil Me.n Chaa.ndanii Lekar
    Ki Raushanii Me.n Nahaane Kii Raat Aa_ii Hai

  1. Kitanii Pii Kaise Katii Raat Mujhe Hosh Nahii.n
    Raat Ke Saath Ga_ii Baat Mujhe Hosh Nahii.n

    Mujh Ko Ye Bhii Nahii.n Maaluum Ki Jaanaa Hai Kahaa.n
    Thaam Le Ko_ii Meraa Haath Mujhe Hosh Nahii.n

    Aa.nsuo.n Aur Sharaabo.n Me.n Guzar Hai Ab To
    Mai.n Ne Kab Dekhii Thii Barasaat Mujhe Hosh Nahii.n

    Jaane Kyaa Tuutaa Hai Paimaanaa Ki Dil Hai Meraa
    Bikhare Bikhare Hai.n Khayaalaat Mujhe Hosh Nahii.n

  1. Mujhase Bichha.d Ke Khush Rahate Ho
    Merii Tarah Tum Bhii Jhuuthe Ho

    Ik Tahanii Par Chaa.nd Tikaa Thaa
    Mai.n Ye Samajhaa Tum Baithe Ho


    Ujale Ujale Phuul Khile The
    Bilkul Jaise Tum Ha.nste Ho

    Mujh Ko Shaam Bataa Detii Hai
    Tum Kaise Kapa.de Pahane Ho

    Tum Tanahaa Duniyaa Se La.doge
    Bachcho.n Sii Baate.n Karate Ho

  1. Tere Baare Me.n Jab Sochaa Nahii.n Thaa
    Mai.n Tanhaa Thaa Magar Itanaa Nahii.n Thaa

    Terii Tasviir Se Karataa Thaa Baate.n
    Mere Kamare Me.n Aa_iinaa Nahii.n Thaa

    Sama.ndar Ne Mujhe Pyaasaa Hii Rakhaa
    Mai.n Jab Seharaa Me.n Thaa Pyasaa Nahii.n Thaa

    Manaane-ruuthane Ke Khel Me.n Ham
    Bichha.d Jaaye.nge Ye Sochaa Nahii.n Thaa

    Sunaa Hai Band Kar Li Us Ne Aa.nkhe.n
    Ka_ii Raato.n Se Vo Soyaa Nahii.n Thaa

  1. Tere Aane Kii Jab Khabar Mahake
    Tere Khushbuu Se Saaraa Ghar Mahake

    Shaam Mahake Tere Tasavvur Se
    Shaam Ke Baad Phir Sahar Mahake

    [tasavvur=thought; Sahar=morning]

    Raat Bhar Sochataa Rahaa Tujh Ko
    Zahan-o-dil Mere Raat Bhar Mahake


    Yaad Aaye To Dil Munavvar Ho
    Diid Ho Jaaye To Nazar Mahake

    [munavvar=illuminated; Diid=seen/to See]

    Vo Gha.dii Do Gha.dii Jahaa.n Baithe
    Vo Zamii.n Mahake Vo Shajar Mahake




  1. Tum Ne Dil Kii Baat Kah Dii Aaj Ye Achchhaa Huaa
    Ham Tumhe.n Apanaa Samajhate The Ba.daa Dhokhaa Huaa

    Jab Bhii Ham Ne Kuchh Kahaa Us Kaa Asar Ulataa Huaa
    Aap Shaayad Bhuulate Hai.n Baarahaa Aisaa Huaa

    Aap Kii Aa.nkho.n Me.n Ye Aa.nsuu Kahaa.n Se Aa Gaye
    Ham To Diivaane Hai.n Lekin Aap Ko Ye Kyaa Huaa

    Ab Kisii Se Kyaa Kahe.n 'iqbaal' Apanii Daastaa.n
    Bas Khudaa Kaa Shukr Hai Jo Bhii Huaa Achchhaa Huaa

  1. Yaad Nahii.n Kyaa Kyaa Dekhaa Thaa Saare Manzar Bhuul Gaye
    Us Kii Galiyo.n Se Jab Laute Apanaa Bhii Ghar Bhuul Gaye

    Khuub Gaye Pardes Ki Apane Diivaar-o-dar Bhuul Gaye
    Shiish-mahal Ne Aisaa Gheraa Mittii Ke Ghar Bhuul Gaye

    Tujh Ko Bhii Jab Apanii Qasame.n Apane Vaade Yaad Nahii.n
    Ham Bhii Apane Khvaab Terii Aa.nkho.n Me.n Rakh Kar Bhuul Gaye

    Mujh Ko Ji.nho.ne Qatl Kiyaa Hai Ko_ii U.nhe.n Batalaaye "nazeer"
    Merii Laash Ke Pahaluu Me.n Vo Apanaa Khanjar Bhuul Gaye

  1. Ye Jo Zindagii Kii Kitaab Hai Ye Kitaab Bhii Kyaa Kitaab Hai
    Kahii.n Ik Hasiin Saa Khvaab Hai Kahii.n Jaan-levaa Azaab Hai


    Kahii.n Chha.nv Hai Kahii.n Dhuup Hai Kahii.n Aur Hii Ko_ii Ruup Hai
    Ka_ii Chehare Is Me.n Chhupe Hu_e Ik Ajiib Sii Ye Naqaab Hai

    Kahii.n Kho Diyaa Kahii.n Paa Liyaa Kahii.n Ro Liyaa Kahii.n Gaa Liyaa
    Kahii.n Chhiin Letii Hai Har Khushii Kahii.n Meharabaan Behisaab Hai

    Kahii.n Aa.nsuo.n Kii Hai Daastaa.n Kahii.n Muskuraahato.n Kaa Bayaa.n
    Kahii.n Barqato.n Kii Hai Baarishe.n Kahii.n Tishnagii Behisaab Hai