Tum To Nahin Ho

  1. Mujhe Tumse Mohabbat Ho Gayi Hai,
    Mujhe Tumse Mohabbat Ho Gayi Hai,
Yeh Duniya Khubsurat Ho Gayi Hai,
Mujhe Tumse Mohabbat Ho Gayi Hai,
Khuda Se Rooj Tumko Mangta Hu,
Meri Chahat Ibadat Ho Gayi Hai,
Yeh Duniya Khubsurat Ho Gayi Hai,
Mujhe Tumse Mohabbat Ho Gayi Hai,
Woh Chera Chand Hai Aakhe Sitare,
Jami Phoolo Ki Janat Ho Gayi Hai,
Yeh Duniya Khubsurat Ho Gayi Hai,
Mujhe Tumse Mohabbat Ho Gayi Hai,
Bahut Din Se Tumhe Dekha Nahi Hai,
Chale Bhi Aao Mudat Ho Gayi Hai,
Yeh Duniya Khubsurat Ho Gayi Hai,
Mujhe Tumse Mohabbat Ho Gayi Hai
  1. Raat Aankhon Mein Dhali Palko Pe Jugnu Aaye,
    Ham Hawao Ki Tarha Jake Use Chu Aaye,
Bas Gayi Hai Mere Ehsaas Mein Yeh Kaisi Mehak,
Koi Khusbu Na Mein Lagau Teri Khusbu Aye,
Usne Chu Kar Mujhe Pathar Se Phir Insane Kiya,
Mudato Baad Meri Aakh Mein Asu Aye,
Meine Din Raat Khuda Se Yeh Dua Mangi Thi,
Koi Aahat Na Ho Dar Par Mere Jab Tu Aaye





  1. Sun li Jo Khuda Ne Woh Dua Tum To Nahi Ho,
    Darwaje Pe Dastak Ki Sada Tum To Nahi Ho,
Mehsus Kiya Tumko To Gili Hui Palke,
Bhige Huye Musam Ki Ada Tum To Nah Ho,
Darwaje Pe Dastak Ki Sada Tum To Nahi Ho,
Sunli Jo Khuda Ne Woh Dua Tum To Nahi Ho,
Anjani Si Raho Mein Nahi Koi Bhi Mera,
Kis Ne Mujhe Yu Apna Kaha Tum To Nahi Ho,
Darwaje Pe Dastak Ke Sada Tum To Nahi Ho,
Suli Jo Khuda Ne Woh Dua Tum To Nahi Ho,
Duniya Ko Belhaye Gile Sikwe Rahenge,
Duniya Ki Tarha Mujse Khafa Tum Toh Nahi Ho,
Darwaje Pe Dastak Ke Sada Tum To Nahi Ho,
Suli Jo Khuda Ne Woh Dua Tum To Nahi Ho
  1. Kabhi To Aasma Se Chand Utre Jaam Ho Jaye,
    Tumhare Naam Ki Ek Khubsurat Sham Ho Jaye,
Woh Mera Naam Sun Kar Kuch Jara Sharma Se Jate Hai,
Bahut Mumkin Hai Kaal Is Ka Naam Mahobat Ho Jaye,
Jara Sa Muskura Kar Haal Pucho Dil Behal Jaye,
Hamara Kaam Ho Jaye Tumhara Naam Ho Jaye,
Ujale Apni Ano Ke Hamare Saath Rehte Ho,
Na Jane Kis Gali Mein Jindagi Ki Shaam Ho Jaye






  1. Khush Rahe Ya Bahut Udaas Rahe,
    Zindagi Tere Aas Paas Rahe,
Aaj Hum Sab Ke Saath Khub Hanse,
Aur Phir Der Tak Udaas Rahe,
Zindagi Tere Aas Paas Rahe,
Khush Rahe Ya Bahut Udaas Rahe,
Raat Ke Raste Bhi Roshan Ho,
Haath Mein Chand Ka Gilas Rahe,
Aadmi Ke Liye Jururi Hai,
Koi Umeed Koi Aas Rahe,
Zindagi Tere Aas Paas Rahe,
Khush Rahe Ya Bahut Udaas Rahe




  1. Woh Nahi Mila To Malal Kya,
    Jo Gujar Gya So Gujar Gaya,
Use Yaad Kar Ke Na Dil Dukha,
Jo Gujar Gya So Gujar Gya,
Na Gila Kiya Na Khafa Huye,
Yuhi Raste Mein Juda Huye,
Na Tu Bewafa Na Mein Bewafa,
Jo Gujar Gya So Gujar Gya,

Use Yaad Kar Ke Na Dil Dukha,
Jo Gujar Gya So Gujar Gya,
Tujhe Etbar-o-Yakeen Nahi,
Naahi Duniya Itni Buri Nahi,
Na Malal Kar Mere Saath Aa,
Jo Gujar Gya So Gujar Gya,
Woh Wafaye Thi Ke Jafaye Thi,
Yeh Na Soch Kis Ki Khataye Thi,
Woh Tera Hai Usko Gale Laga,
Jo Gujar Gya So Gujar Gya,
Woh Nahi Mila To Malal Kya,
Jo Gujar Gya So Gujar Gaya,
Use Yaad Kar Ke Na Dil Dukha,
Jo Gujar Gya So Gujar Gya







  1. Jis Din Se Chala Hu Kabhi Mud Kar Nahi Dekha,
    Meine Koi Gujra Hua Manjar Nahi Dekha,
Pathar Mujhe Kehta Hai Mera Chahna Wala,
Mein Moom Hu Usne Mujhe Chu Kar Nahi Dekha,
Bewaqt Agar Jauga Sab Chauk Padenge,
Ek Umra Hui Din Mein Kabhi Ghar Nahi Dekah,
Yeh Phool Mujhe Koi Virasat Mein Mile Hai,
Tumne Mera Kaanto Bhara Bistar Nahi Dekha,
Jis Din Se Chala Hu Kabhi Mud Kar Nahi Dekha,
Meine Koi Gujra Hua Manjar Nahi Dekha
  1. Mohabbaton Mein Dikhawe Ki Dosti Na Mila,
    Agar Gale Nahi Milta To Haath Bhi Na Mila,
Gharo Pe Naam The Namo Ke Saath Ouhade The,
Bahut Talash Kiya Koi Admi Na Mila,
Taamam Rishto Ko Mein Ghar Pe Chhod Aaya Tha,
Phir Uske Baad Mujhe Koi Ajnabi Na Mila,
Bahut Ajeeb Hai Yeh Pubato Ki Duri Bhi,
Woh Mere Saath Raha Aur Mujhe Kabhi Na Mila,
Agar Gale Nahi Milta To Haath Bhi Na Mila,
Mohabbaton Mein Dikhawe Ki Dosti Na Mila

TUM BIN

Koi Fariyaad Tere Dil Me Dabi Ho Jaise
Koi Fariyaad Tere Dil Me Dabi Ho Jaise
Tune Aakho Se Koi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umra Kati Ho Jaise
Jaan Baki Hai Magar Saans Ruki Ho Jaise
Har Mulakat Pe Mehsus Yeh Hi Hota Hai
Mujh Se Kuch Teri Najar Puch Rahi Ho Jaise
Raah Chalet Huue Aksar Yeh Guma Hota Hai
Wo Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise

THE UNFORGETABLE

  1. Aaye Hain Samjhaane Log
    Hain Kitne Deewane Log

    Dair-o-haram Mein Chain Jo Miltha
    Kyon Jaathe Maikhaane Log

    Jaan Ke Sab Kuch, Kuch Bhi Na Jaane
    Hain Kitne Anjaane Log

    Waqt Pe Kaam Nahin Aathe Hain
    Ye Jaane Pehchaane Log

    Ab Jab Mujh Ko Hosh Nahin Hain
    Aaye Hain Samjhaane Log


  1. Bahut Pehle Se Un Qadmon Ki Aahat Jaan Letey Hai
    Tujhe Ae Zindagi Hum Door Se Pehchaan Letey Hain

    Tabiyat Apni Ghabraati Hai Jab Sunsaan Raaton Mein
    Hum Aise Mein Teri Yaadon Ki Chaadar Taan Lete Hain

    Meri Nazren To Aise Qaafiron Ka Jaan-o-imaan Hai
    Nigaahen Milte Hi Jo Jaam Aur Imaan Lete Hain

    'firaq' Aksar Badal Kar Bhesh Milta Hai Koi Qaatil
    Kabhi Hum Jaan Lete Hian Kabhi Pehchaan Lete Hain


  1. Dard Badhkar Fughan Na Ho Jaaye
    Ye Zameen Aasmaan Na Ho Jaaye

    Dil Mein Dooba Hua Jo Nashtar Hai
    Mere Dil Ki Zubaan Na Ho Jaaye

    Dil Ko Le Leejiye Jo Lena Hai
    Fir Ye Sauda Garan Na Ho Jaaye

    Aah Kije Magar Latif Tabhi
    Lab Tak Aakar Dhuaan Na Ho Jaaye

  1. Ek Na Ek Shamma Andhere Mein Jalaye Rakhiye
    Subah Hone Ko Hai Maahol Sajaaye Rakhiye

    Jinke Haathon Se Hume Zakm-e-neha Pahunchi Hai
    Wo Bhee Kehte Hain Ke Zakhmon Ko Chupaaye Rakhiye

    Kaun Jaane Ke Wo Kis Raah-guzar Se Guzre
    Har Guzar Raah Ko Phoolon Se Sajaaye Rakhiye

    Daaman-e-yaar Ki Zeenat Na Bane Har Ansoo
    Apni Palkon Ke Liye Kuch To Bachaaye Rakhiye


  1. Hum Hi Mein Thee Na Koi Baat, Yaad Hi Na Tumko Aa Sake
    Tumnay Hamein Bhula Diya Hum Na Tumhe Bhula Sake

    Tum Hi Na Sun Sake Agar Kissa-e-gham Sunega Kaun
    Kis Ki Zubaan Khulegi Phir Hum Na Agar Suna Sake

    Shauk-e-visaal Hain Yahan Lab Pe Sawaal Hai Yahan
    Kis Ki Majaal Hai Yahan Hum Se Nazar Mila Sake


  1. Jawan Hai Raat Sakiya Sharaab La Sharaab La
    Zara Si Pyaas To Bhuja Sharaab La Sharaab La

    Tere Shabab Par Sada Karam Rahey Bahaar Ka
    Tujhay Lage Meri Dua Sharaab La Sharaab La

    Yahan Koi Na Jee Saka Na Jee Sakega Hosh Mein
    Mitaa Dey Naam Hosh Ka Sharaab La Sharaab La

    Tera Bada Hi Shukriya Pilaaye Ja Pilaaye Ja
    Na Zikr Kar Hisaab Ka Sharaab La Sharaab La



  1. Kisi Ranjish Ko Hawa Do Ke Main Zinda Hoon Abhi
    Mujhko Ehsaas Dila Do Ke Main Zinda Hoon Abhi

    Mere Rukne Se Meri Saanse Bhi Ruk Jaayengi
    Faasile Aur Badha Do Ke Main Zinda Hoon Abhi

    Zehar Peene Ki To Aadat Thi Zamaane Waalon
    Ab Koi Aur Dawa Do Ke Main Zinda Hoon Abhi

    Chalti Raahon Mein Yoonhi Aankh Lagi Hai 'faakir'
    Bheed Logon Ki Hata Do Ke Main Zinda Hoon Abhi


  1. Raat Bhi Neend Bhi Kahaani Bhee
    Haaye Kya Cheez Hai Jawaani Bhee

    Dil Ke Sholon Se Padti Hai Sehra
    Zindagi Aag Bhee Hai Paani Bhee

    Khark Kya Kya Mujhe Nahin Kehti
    Kuch Sunoon Main Teri Zubaani Bhee

    Paas Rehna Kisi Ka Raat Ki Raat
    Mehmaani Bhee Mezbaani Bhee


  1. Tumne Sooli Pe Latakte Jise Dekha Hoga
    Waqt Aayega Wahi Shaksh Maseeha Hoga

    Khwaab Dekha Thaa Ke Sehra Mein Basera Hoga
    Kyaa Khabar Thi Ke Yahi Khwaab To Sachcha Hoga

    Main Fizaaon Mein Bikhar Jaaoonga Khushboo Bankar
    Rang Hoga Na Badan Hoga Na Chehra Hoga

  1. Yeh Mojeza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaaye Mujhe
    Ke Sang Tujhpe Gire Aur Zakhm Aaye Mujhe

    Wo Meharbaan Hai Tho Ikraar Kyoon Nahin Kartha
    Wo Badgumaan Hai Tho Sau Baar Aazmaaye Mujhe

    Wo Mera Dost Hai Saare Jahaan Ko Hai Maaloom
    Daga Kare Wo Kisi Se Tho Sharm Aaye Mujhe

    Main Apni Zaat Mein Neelam Ho Raha Hoon 'qateel'
    Gham-e-hayaat Se Keh Do Khareed Laaye Mujhe

THE LATEST

  1. Charaag Aaftaab Gum, Badi Haseen Raat Thee
    Shabaab Ki Naqaab Gum, Badi Haseen Raat Thee

    Mujhe Pila Rahe The Wo Ke Khud Hi Shamma Bujh Gayee
    Gilaas Gum, Sharaab Gum, Badi Haseen Raat Thee

    Likha Tha Jis Kitaab Mein Ke Ishq To Haraam Hai
    Huyee Wohi Kitaab Gum, Badi Haseen Raat Thee

    Labon Se Lab Jo Mil Gaye, Labon Se Lab Hi Sil Gaye
    Sawaal Gum, Jawaab Gum, Badi Haseen Raat Thee

  1. Jis Mod Par Kiye The Hum Intejaar Barson
    Us'se Lipat Ke Roye, Deewana-waar Barson

    Tum Gulsitan Se Aaye Zikre Khizaan Hilaaye
    Humne Kafas Mein Dekhi Fasle Bahaar Barson

    Hoti Rahee Hai Yun To Barsaat Aasuon Kee
    Uth'te Rahe Hain Phir Bhi Dil Se Gubaar Barson

    Wo Sang-e-dil Tha Koi Begaana-e-wafa Tha
    Karte Rahen Hai Jiska Hum Intezaar Barson

  1. Dhal Gaya Aaftaab Ae Saaqi
    La Pila De Sharaab Ae Saaqi

    Ya Suraahi Laga Mere Mooh Se
    Ya Ulat De Naqaab Ae Saaqi

    Maikada Chod Kar Kahan Jaaoon
    Hai Zamana Kharaab Ae Saaqi

    Jaam Bhar De Gunaahgaaron Ke
    Ye Bhi Hai Ik Sawaab Ae Saaqi

    Aaj Peene De Aur Peene De
    Kal Karenge Hisaab Ae Saaqi

  1. Shayad Main Zindagi Ki Sahar Le Ke Aa Gaya
    Qaatil Ko Aaj Apne Hi Ghar Le Ke Aa Gaya

    Taa Umr Dhoondta Raha Manzil Main Ishq Ki
    Anjaam Ye Ke Garde Safar Le Ke Aa Gaya

    Nashtar Hai Mere Haath Mein Kaandhon Pe Maikada
    Lo Main Ilaaje Dard-e-zigar Le Ke Aa Gaya

    'faakir' Sanam Maikade Mein Na Aata Main Lautkar
    Ik Zakhm Bhar Gaya Tha Idhar Le Ke Aa Gaya

  1. Dil Ke Deewaron Dar Pe Kya Dekha
    Bas Tera Naam Hi Likha Dekha

    Teri Aankhon Mein Humne Kya Dekha
    Kabhi Qaatil Kabhi Khuda Dekha

    Apnee Soorat Lagi Paryee Si
    Jab Kabhi Humne Aa'inah Dekha

    Haaye Andaaz Tere Rukne Ka
    Waqt Ko Bhi Ruka Ruka Dekha

    Tere Jaane Mein Aur Aane Mein
    Humne Sadiyon Ka Faasila Dekha

    Phir Na Aaya Khayaal Zannat Ka
    Jab Tere Ghar Ka Raasta Dekha
  1. Uss Mod Se Shuru Karen Phir Ye Zindagi
    Har Shay Jahan Haseen Thee, Hum Tum The Ajnabi

    Lekar Chale The Hum Jinhe Jannat Ke Khwaab The
    Phoolon Ke Khwaab The Wo Mohabbat Ke Khwaab The
    Lekin Kahan Hai Unmein Wo Pehle See Dilkashi

    Rehte The Hum Haseen Khayaalon Ki Bheed Mein
    Uljhe Huye Hain Aaj Sawaalon Ki Bheed Mein
    Aane Lagi Hai Yaad Wo Fursat Ki Har Ghadi

    Shaayad Ye Waqt Humse Koi Chaal Chal Gaya
    Rishta Wafa Ka Aur Hi Rangon Mein Dhal Gaya
    Ashkon Ki Chandini Se Thee Behtar Wo Dhoop Hi

  1. Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo
    Bhale Cheen Lo Mujhse Meri Jawaani
    Magar Mujhko Lauta Do Bachchpan Ka Saawan
    Wo Kaagaz Ki Kasthi Wo Baarish Ka Paani

    Mohalle Ki Sabse Nishaani Purani
    Wo Budhiya Jise Bachche Kehte The Naani
    Wo Naani Kee Baaton Mein Pariyon Ka Dera
    Wo Chehre Ke Jhuriyon Mein Sadiyon Ka Phera
    Bhulaaye Nahin Bhool Saqta Hai Koi
    Wo Choti See Raaten Wo Lambi Kahaani

    Kadi Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalna
    Wo Chidiya Wo Bulbul Wo Thithli Pakadna
    Wo Gudiya Ki Shaadi Pe Ladna Jhagadna
    Wo Jhoolon Se Girna, Wo Gir Ke Sambhalna
    Wo Pithal Ke Challon Ke Pyaare Se Tho'fe
    Wo Tuti Hui Chudiyon Ki Nishaani

    Kabhi Re't Ke Oonche Tilon Pe Jaana
    Gharonde Banana, Banaake Mitaana
    Wo Maasoom Chaahat Ki Tasveer Apni
    Wo Khwabon Khilono Ki Taabir Jaageer Apni
    Na Duniya Ka Gham Tha Na Rishton Ke Bandhan
    Badi Khoobsoorat Thi Wo Zindgaani

  1. Zindagi Tujhko Jiya Hai Koi Afsos Nahin
    Zehar Khud Maine Piya Hai Koi Afsos Nahin

    Maine Mujrim Ko Bhi Mujrim Na Kaha Duniya Mein
    Bas Yahi Zurm Kiya Hai Koi Afsos Nahin

    Meri Kismat Mein Jo Likkhe The Unhi Kaanton Se
    Dil Ke Zakhmon Ko Seeya Hai Koi Afsos Nahin

    Ab Gire Sang Ke Sishon Ki Hoon Baarish 'faakir'
    Ab Kafan Odh Liya Hai Koi Afsos Nahin

THE GOLD DISK

  1. Chale Bhii Aao Vo Hai Qabr-e-fani Dekhate Jaao
    Tum Apane Marane Vaale Kii Nishaanii Dekhate Jaao

    Abhii Kyaa Hai Kisii Din Khuu.n Rulaayegaa Ye Khaamoshii
    Zubaan-e-haal Ki Jadd-o-bayaanii Dekhate Jaao

    Guruur-e-husn Kaa Sadaqaa Ko_ii Jaataa Hai Duniyaa Se
    Kisii Kii Khaak Me.n Milatii Javaanii Dekhate Jaao

    Sune Jaate Na The Tum Se Mere Din Raat Ke Shikave
    Kafan Sarakaao Merii Be-zubaanii Dekhate Jaao

  1. Gam Mujhe Hasarat Mujhe Vahashat Mujhe Saudaa Mujhe
    Ek Dil Dekar Khudaa Ne De Diyaa Kyaa-kyaa Mujhe

    Ye Namaaz-e-ishq Hai Kaisaa Adab Kisakaa Adab
    Apane Paay-e-namaaz Par Karane Do Sajdaa Mujhe

    Dekhate Hii Dekhate Duniyaa Se Mai.n Uth Jaauu.ngaa
    Dekhatii Hii Dekhatii Rah Jaayegii Duniyaa Mujhe

  1. Kiyaa Hai Pyaar Jise Hamane Zindagii Kii Tarah
    Vo Aashanaa Bhii Milaa Hamase Ajanabii Kii Tarah

    Ba.daa Ke Pyaas Merii Us Ne Haath Chho.d Diyaa
    Vo Kar Rahaa Thaa Muravvat Bhii Dillagii Kii Tarah

    Kise Khabar Thii Ba.degii Kuchh Aur Taariikii
    Chhupegaa Vo Kisii Badalii Me.n Chaa.ndanii Kii Tarah

    Kabhii Na Sochaa Thaa Hamane "qateel" Us Ke Liye
    Karegaa Ham Pe Sitam Vo Bhii Har Kisii Kii Tarah






  1. Mujhase Milane Ke Vo Karataa Thaa Bahaane Kitane
    Ab Guzaaregaa Mere Saath Zamaane Kitane

    Mai.n Giraa Thaa To Bahut Log Ruke The Lekin
    Sochataa Huu.n Mujhe Aaye The Uthaane Kitane

    Jis Tarah Mai.n Ne Tujhe Apanaa Banaa Rakhaa Hai
    Sochate Ho.nge Yahii Baat Na Jaane Kitane

    Tum Nayaa Zakhm Lagaao Tumhe.n Is Se Kyaa Hai
    Bharane Vaale Hai.n Abhii Zakhm Puraane Kitane

  1. Na Ho Gar Aashanaa Nahii.n Hotaa
    But Kisii Kaa Khudaa Nahii.n Hotaa

    Tum Bhii Us Vaqt Yaad Aate Ho
    Jab Ko_ii Aasaraa Nahii.n Hotaa

    Dil Me.n Kitanaa Sukuun Hotaa Hai
    Jab Ko_ii Muddavaa Nahii.n Hotaa

    Ho Na Jab Tak Shikaar-e-naakaamii
    Aadamii Kaam Kaa Nahii.n Hotaa

    Zindagii Thii Shabaab Tak "seemab"
    Ab Ko_ii Saanehaa Nahii.n Hotaa

  1. Naamaa Gayaa Ko_ii Na Ko_ii Naamaabar Gayaa
    Terii Khabar Na Aa_ii Zamaanaa Guzar Gayaa

    Ha.nsataa Huu.n Yuu.n Ki Hijr Kii Raate.n Guzar Ga_ii.n
    Rotaa Huu.n Yuu.n Ki Lutf-e-duaa-e-sahar Gayaa

    Ab Mujh Ko Hai Qaraar To Sab Ko Qaraar Hai
    Dil Kyaa Thahar Gayaa Ki Zamaanaa Guzar Gayaa

    Yaa Rab Nahii.n Mai.n Vaaqif-e-rudaad-e-zindagii
    Itanaa Hii Yaad Hai Ki Jiyaa Aur Mar Gayaa

  1. Shab-e-gam Ai Mere Allaah Basar Bhii Hogii
    Raat Hii Raat Rahegii Ke Sahar Bhii Hogii

    Mai.n Ye Sunataa Huu.n Ke Vo Duniyaa Kii Khabar Rakhate Hai.n
    Jo Ye Sach Hai To U.nhe.n Merii Khabar Bhii Hogii

    Chain Milane Se Hai Un Ke Na Judaa Rahane Se
    Aakhir Ai Ishq Kisii Tarah Basar Bhii Hogii

  1. Us Kii Baate.n Bahaar Kii Baate.n
    Vaadii-e-laalaazaar Kii Baate.n

    Gul-o-shabanam Kaa Zikr Kar Na Abhii
    Mujhako Karanii Hai Pyaar Kii Baate.n

    Shekh Jii Mayakadaa Hai Kaabaa Nahii.n
    Yaa.n To Ho.ngii Khumaar Kii Baat

    Ishq Kaa Kaaravaa.n Chalaa Bhii Nahii.n
    Aur Abhii Se Gubaar Kii Baat

    Ye Qafas Aur Teraa Khayaal-e-hasii.n
    Is Pe Har Suu Bahaar Kii Baat

  1. Woh Dil Hii Kyaa Tere Milane Kii Jo Duaa Na Kare
    Mai.n Tujh Ko Bhuul Ke Zi.ndaa Rahuu.n Khudaa Na Kare

    Rahegaa Saath Teraa Pyaar Zindagii Banakar
    Ye Aur Baat Merii Zindagii Vafaa Na Kare

    Ye Thiik Hai Nahii.n Marataa Koii Judaaii Me.n
    Khudaa Kisii Se Kisii Ko Magar Judaa Na Kare

    Sunaa Hai Usako Mohabbat Duuaaye.n Detii Hai
    Jo Dil Pe Chot To Khaaye Magar Gilaa Na Kare

    Zamaanaa Dekh Chukaa Hai Parakh Chukaa Hai Use
    "Qateel" Jaan Se Jaaye Par Iltajaa Na Kare