Maana Ke Musht-e-khak Se Badh Kar Nahin Hoon Main
Lekin Hawa Ke Rehmo-karam Par Nahin Hoon Main
Insaan Hoon Dhadkte Huye Dil Par Haath Rakh
Yoon Doob Kar Na Dekh Samandar Nahin Hoon Main
Chehre Pe Mal Raha Hoon Siyaahi Naseeb Ki
Aaiynaa Haath Mein Hai Sikandar Nahin Hoon Main
'Ghalib' Tere Zameen Mein Likhi To Hai Ghazal
Tere Kad-e-sukhan Ke Baraabar Nahin Hoon Main
Lyrics: Iftikhar Sultan
माना के मुश्त-ए-खाक से बढ़ कर नहीं हूं मैं
लेकिन हवा के रहमो-करम पर नहीं हूं मैं
इंसान हूं धड़कते हुए दिल पर हाथ रख
यून डूब कर ना देख समंदर नहीं हूं मैं
चेहरे पे मल रहा हूं सियाही नसीब की
आइंना हाथ में है सिकंदर नहीं हूं मैं
'ग़ालिब' तेरे ज़मीन में लिखी तो है ग़ज़ल
तेरे कद-ए-सुखन के बराबर नहीं हूं मैं
शायर: इफ्तिकार सुल्तान
*****Also in:
Album: Echoes (1986)
An Evening with Jagjit Singh
Listen/watch on Youtube:
Jagjit Singh
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें