GHULAM ALI: Ek nagma ek taara ek guncha ek jaam

Ek nagma ek taara ek guncha ek jaam;
Ai gam-e-dauraan gam-e-dauraan tujhe mera salaam!

Zulf aawaara garebaan chaak ghabaraayi nazar;
In dinon ye hai jahaan mein zindagaani ka nizaam!

Chand taare tuut kar daaman mein mere aa gire;
Main ne poonchha tha sitaaron se tere gam ka maqaam!

Pad gayin pairaahan-e-subah-e-chaman par salawatein;
Yaad aa kar rah gayi hai bekudi ki ek shaam!

Teri ismat ho ke ho mere hunar ki chaandani;
Waqt ke baazaar mein har chiz ke lagate hain daam!

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें