GHULAM ALI: Dilawaalon kya dekh rahe ho in raahon mein

Dilawaalon kya dekh rahe ho in raahon mein, in raahon mein;
Had-e-nazar tak ye viraani saath chalegi, saath chalegi!

Sannaate phir shama ke aansu chaat rahe hain, chaat rahe hain;
Ye basti jo ujad gayi hai ab na basegi, ab na basegi!

Ghar ke andar saare jangal ka sannaata, sannaata;
Shaam huyi to is jangal mein hawa chalegi, hawa chalegi!

Jinake haathon dil ki ye tauhin huyi hai, tauhin huyi hai;
Unake liye bhi ye duniya aisi na rahegi, aisi na rahegi!

'Razi Miyaan' tum shaam se kaise chup baithe ho, chup baithe ho;
Kuchh to bolo aisi chup se baat badhegi, baat badhegi!

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें