Ghulam Ali: Bahaaron ko chaman yaad aa gaya hai

बहारों को चमन याद आ गया है - गुलाम अली

Bahaaron ko chaman yaad aa gaya hai;
Mujhe wo gulabadan yaad aa gaya hai!

Lachakati shaakh ne jab sar uthaaya;
Kisi ka baankapan yaad aa gaya hai!

Teri suurat ko jab dekha hai main ne;
Uruuch-e-fiqr-o-fan yaad aa gaya hai!

Meri kaamoshi pe hansane waalon;
Mujhe wo kam-sukhan yaad aa gaya hai!

Mile wo ajanabi ban kar to 'Rafat';
Zamaane ka chalan yaad aa gaya hai!

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें