Tasveer Banata Hoon, Tasveer Nahi Banti


Tasveer Banata Hoon, Tasveer Nahi Banti,
Ek Khawab Sa Dekha Hai, Tabeer Nahi Banti,

Bedard Mohabat Ka, Itna Sa Hai Afsana,
Nazro Se Mili Nazre, Main Ho Gaya Deewana,
Ab Dil Ke Behlne Ki Takdir Nahi Banti,
Tasveer Nahi Banti,

Dam Bhar Ke Liye Meri, Duniya Mein Chale Aayo,
Tarsi Hui Aankho Ko, Phir Sshakal Dikha Jayo,
Mujhse To Meri Bigdi, Takdir Nahi Banti,
Tasveer Nahi Banti



Movie: Baradari (1955)
Lyricist: Khumar Barabankwi,
Singer: Talat Mehmood
Music Director: Naushad
तसवीर बनाता हूँ, तसवीर नहीं बनती
एक ख्वाब सा देखा हैं, ताबीर नहीं बनती

बेदर्द मोहब्बत का इतना सा हैं अफ़साना
नज़रों से मिली नज़ारे, मैं हो गया दीवाना
अब दिल के बहलने की, तदबीर नहीं बनती

दम भर के लिए मेरी दुनियाँ में चले आओ
तरसी हुई आखों को फिर शक्ल दिखा जाओ
मुझ से तो मेरी बिगड़ी तकदीर नहीं बनती
चित्रपट : बारादरी (1955)
गीतकार: खुमार बाराबंकवी
गायक : तलत मेहमूद
संगीतकार : नौशाद
Youtube Video
By: Jagjit Singh

From Movie: Baradari (1955)
HD AUDIO
 


कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें