SOZ

  1. Aaj Maine Aapna Phir Sauda Kiya,
    Aur Phir Mein Dur Se Dekha Kiya,
    Zindagi Bhar Mere Kam Aaye Asul,
    Ek Ek Karke Unhe Becha Kiya,
Kuch Kabhi Apni Wafao Me Bhi Thi,
Tumse Kya Kahte Ki Tumne Kya Kiya,
Ho Gayi Thi Dil Ko Kuch Umeed Si,
Khair Tumne Jo Kiya Aacha Kiya.

  1. Aap Bhi Aaye, Hum Ko Bhi Bulate Rahiye,
    Dosti Jurm Nahi, Dost Banate Rahye,
    Jahar Pe Jaye Aur Batye Amrit Sabko,
    Jakam Bhi Khaye Aur Geet Bhi Gate Rahiye,
    Wakt Ne Lut Le Logo Ki Tamannae Bhi,
    Khawab Jo Dekhye Auro Ko Dikhate Rahye,
    Shakal To Aapke Bhi Jahan Mein Hogi Koi,
    Kabhi Jayegi Tasvir, Banate Rahye.

  1. Ab Agar Aayo To Jane Ke Liye Mat Aana,
    Sirf Ehsaan Jatane Ke Liye Mat Aana,
    Maine Palko Pe Tamannaye Saja Rakhe Hai,
    Dil Mai Umeed Ki Soo Shame Jala Rakhi Hai,
    Yeh Hasi Shamme Buzhane Ke Liye Mat Aana,
    Pyar Ki Aag Me Janjire Phighal Sakti Hai,
    Chahne Walo Ki Takdire Badal Sakti Hai,
    Tum Ho Bebas Yah Batane Ke Liye Mat Aana,
    Ab Tum Aana Jo Tumhe Muzhse Mohabat Hai Koi,
    Mu6zhse Milne Ki Aagar Tumko Bhi Chahat Hai Koi,
    Tum Koi Rasam Nibhane Ke Liye Mat Aana.

  1. Ek Pal Ghamon Ka Dariya, Ek Pal Kushi Ka Dariya,
    Rukhta Nahi Kahi Bhi, Yeh Zindagi Ka Dariya,
    Aakhe Thi Woh Kisi Ki Yah Khawab Ke Zanjire,
    Awaj Thi Kisi Ki Yah Ragini Ka Dariya,
    Is Dil Ki Wadiyo Me Ab Khak Ud Rahi Hai,
    Bheta Yahi Tha Phele Ek Ashiki Ka Dariya,
    Kirno Me Hai Veh Lehre, Yah Lehro Me Hai Kirne,
    Dariya Ke Chadni Hai, Yah Chandni Ka Dariya.

  1. Kyo Dare Zindagi Mein Kya Hoga,
    Kuch Na Hoga To Tajruba Hoga,
    Hasti Aakho Mein Jhaak Kar Dekho,
    Koi Aasu Kahi Chupa Hoga,
    In Dino Na Umeed Sa Hu Main,
    Shayaad Usne Bhi Yeh Suna Hoga,
    Dekhkar Tumko Sochta Hu Main,
    Kya Kisi Ne Tumhe Chuya Hoga.

  1. Pyaas Ki Kaise Laaye Taab Koi,
    Nahi Darya To Ho Sarab Koi,
    Raat Bajti Thi Dur Shanaye,
    Roya Peekar Bahut Sharab Koi,
    Kaun Sa Zakham Kise Bhaksha Hai,
    Uska Rakhe Kha Hisab Koi,
    Phir Main Sunne Laga Hu Is Dil Ki,
    Aane Wala Hai Phir Ajaab Koi.

  1. Shaam Hone Ko Hai,
    Lal Suraj Smandar Mein Khone Ko Hai,
    Aur Uske Pare Kuch Parinde Kataar Banaye,
    Unhi Janglo Ko Chale,
    Jinke Pedo Ki Shakho Pe Hai Ghosle,
    Yeh Parinde Wahi Laut Kar Jayege, Aur So Jayege,
    Hum Hi Hairan Hai, Is Makano Ke Jangle Mein,
    Aapna Koi Bhi Thikana Nahi,
    Shaam Hone Ko Hai,
    Hum Kha Jayege.

  1. Tamanna Phir Machal Jaaye Agar Tum Milne Aa Jayo,
    Yeh Mausam Hi Badal Jaye Agar Tum Milne Aa Jayo,
    Mujhe Gum Hai Ki Meine Zindagi Mein Kuch Nahi Paya,
    Yeh Gum Dil Se Nakal Jaye Agar Tum Milne Aa Jayo,
    Nahi Milte Ho Mujhse Tum To Sab Humdard Hai Mere,
    Zamana Mujhse Jal Jaye Agar Tum Milne Aa Jayo,
    Yeh Dunya Bhar Ke Jhagde Ghar Ke Kisse Kam Ke Baate,
    Balaa Har Ek Tal Jaye Agar Tum Milne Aa Jayo.

  1. Tum Baithe Ho Lekin Jate Dekh Raha Hu,
    Main Tanhai Ke Din Aate Dekh Raha Hu,
    Aane Wale Lamhe Se Dil Sehma Hai,
    Tumko Bhi Darte Ghabrate Dekh Raha Hu,
    Kab Yaado Ka Jakham Bhare Kab Daag Mite,
    Kitne Din Lagte Hai Bhulate Dekh Raha Hu,
    Uski Akho Me Bhi Kajal Faila Hai,
    Main Bhi Mudke Jate Jate Dekh Raha Hu.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें