mujaffar warsi लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
mujaffar warsi लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

Lab-e-khaamosh Se Izhaar-e-tamanna Chaahe

Lab-e-khamosh Se Izhar-e-tamanna Chahe,
Baat Karne Ko Bhee Tasveer Ka Lehja Chahe

Tu Chale Saath To Aahat Bhee Na Aaye Apni,
Dar
miyan Bhee Na Ho Yun Tujhe Tanha Chahe

Khwaab Mein Roye To Ehsaas Ho Sairaabi Ka,
Ret Par Soye Magar Aankh Mein Dariya Chahe

Aise Tairaaq Bhee Dekhe Hain 'muzaffar' Humne,
Gharq Hone Ke Liye Bhee Jo Sahara Chahe
Lyrics: Mujaffar Warsi
लब-खामोश से इज़हारे-तमन्ना चाहे
बात करने को भी तस्वीर का लहजा चाहे

तू चले साथ तो आहट भी ना आये अपनी
दरमियाँ भी ना हो यूँ तुझे तन्हाँ चाहे

ख्वाब में रोये तो एहसास हो सैराबी का
रेत पर सोये मगर आँख में दरिया चाहे

ऐसे तैराक़ भी देखे हैं मुज्जफर हमने
गर्क होने के लिये भी सहारा चाहे.
शायर: मुजफ्फर वारसी
Listen/watch on Youtube:
Chitra Singh

Shola Hoon Bhadakne Ki Guzaarish Nahin Karta


Shola Hoon Bhadakne Ki Guzaarish Nahin Karta
Sach Muuh Se Nikal Jaata Hai Koshish Nahin Karta

Girati Huyi Diwaar Ka Humdard Hoon Lekin
Chadhate Huye Sooraj Ki Parasthish Nahin Karta

Maathe Ke Paseene Ki Mahak Aaye Na Jaisi
Wo Khoon Mere Jism Mein Gardish Nahin Karta

Humdard Ye Ehbaab Se Darta Hoon 'muzaffar'
Main Zakhm To Rakhta Hoon Numaish Nahin Karta

Jo Bhii Bichha.de Hai.n Kab Mile Hain "faraz"
Phir Bhii Tuu Intazaar Kar Shaayad

Lyrics: Mujaffar Warsi
शोला हूँ भड़कने की गुजारिश नहीं करता
सच मुँह से निकल जाता हैं कोशिश नहीं करता


गिरती हुई दीवार का हमदर्द हूँ लेकिन
चढ़ते हुए सूरज की परस्तिश नहीं करता


माथे के पसीने की महक आये ना जिस से
वो खून मेरे जिस्म में गर्दिश नहीं करता


हमदर्दी-ए-एहबाब से डरता हूँ मुज़फ्फर
मैं जख्म तो रखता हूँ नुमाईश नहीं करता

शायर: मुजफ्फर वारसी
*****Also in:
Album: Echoes (1986)
       An Evening with Jagjit Singh 
Listen/watch on Youtube:
Jagjit Singh