RARE MOMENTS
- Dhoondala Dhoondala Rasta Tera,
Is Mein Man Ki Kuch Dhoop Mila,
Man Jogi Hai Le Ek Tara, Kuchda Kuchda,
Kalyan Yahi Hoga, Nirvan Yahi Hoga,
Ek Sapna Hai Jo Rasta Hai,
Ganga Taat Par Par Man Pyaasa Hai,
Age Peche Mrig Trishna Hai,
Rukja Rukja …….
Kalyan Yahi Hoga, Nirvan Yahi Hoga
- Meri Ajab Hai Zindagi, Kisi Se Kya Gila Karu,
Takdir Rooth Jaye To, Mere Kudha Main Kya Karu,
Halat Ne Naseb Me Gam Bhar Diye Hai Is Kadar,
Na Manjil Ki Kuch Khabar, Main Karwa Ko Kya Karu,
Mil Jaye Duubne Pe Bhi, Akhir Tu Ek Sahil Nahi,
Tufan Ki Hai Arzu, Tofan Ki Dua Karu,
Manjil Ki Thi Talash To, Garde Safar Mili Mujhe,
Akhe Baras Padi Meri, Kali Ghata Ko Kya Karu.
- Raten Thi Sooni Sooni, Din Bhi Udaas The Mere,
Tum Mil Gaye To Jage Soye Hue Sawere,
Khamosh In Labo Ko Ek Ragini Mili Hai,
Murjhaye Se Guloo Ko Ek Taazgi Mili Hai,
Ghere Hue The Mujh Ko Kabse Ghane Andhere,
Rutha Hua Tha Mujhse, Khushiyo Ko Hai Tarana,
Lagta Tha Zindagani, Ban Jayegi Fasana,
Har Su Lage Hue The Tanhayeyo Ke Phere
- Sar Hi Na Jhuka, Dil Bhi To Jhuka,
Kalyan Yahi Hoga, Nirvan Yahi Hoga,
In Diwaro Se Baten Kar,
Mat Chalka Tu Man Ka Sagar,
Jeevan Mein Yeh Sannata Bhar,
Phir Kaan Laga, Kalyan Yahi Hoga
- Shayad Main Zindagi Ki Sahar Le Ke Aa Gaya
Qaatil Ko Aaj Apne Hi Ghar Le Ke Aa Gaya
Taa Umr Dhoondta Raha Manzil Main Ishq Ki
Anjaam Ye Ke Garde Safar Le Ke Aa Gaya
Nashtar Hai Mere Haath Mein Kaandhon Pe Maikada
Lo Main Ilaaje Dard-e-zigar Le Ke Aa Gaya
'faakir' Sanam Maikade Mein Na Aata Main Lautkar
Ik Zakhm Bhar Gaya Tha Idhar Le Ke Aa Gaya
- Dil Ke Deewaron Dar Pe Kya Dekha
Bas Tera Naam Hi Likha Dekha
Teri Aankhon Mein Humne Kya Dekha
Kabhi Qaatil Kabhi Khuda Dekha
Apnee Soorat Lagi Paryee Si
Jab Kabhi Humne Aa'inah Dekha
Haaye Andaaz Tere Rukne Ka
Waqt Ko Bhi Ruka Ruka Dekha
Tere Jaane Mein Aur Aane Mein
Humne Sadiyon Ka Faasila Dekha
Phir Na Aaya Khayaal Zannat Ka
Jab Tere Ghar Ka Raasta Dekha
- Us's Mod Se Shuru Karen Phir Ye Zindagi
Har Shay Jahan Haseen Thee, Hum Tum The Ajnabi
Lekar Chale The Hum Jinhe Jannat Ke Khwaab The
Phoolon Ke Khwaab The Wo Mohabbat Ke Khwaab The
Lekin Kahan Hai Unmein Wo Pehle See Dilkashi
Rehte The Hum Haseen Khayaalon Ki Bheed Mein
Uljhe Huye Hain Aaj Sawaalon Ki Bheed Mein
Aane Lagi Hai Yaad Wo Fursat Ki Har Ghadi
Shaayad Ye Waqt Humse Koi Chaal Chal Gaya
Rishta Wafa Ka Aur Hi Rangon Mein Dhal Gaya
Ashkon Ki Chandini Se Thee Behtar Wo Dhoop Hi
- Zindagi Tujhko Jiya Hai Koi Afsos Nahin
Zehar Khud Maine Piya Hai Koi Afsos Nahin
Maine Mujrim Ko Bhi Mujrim Na Kaha Duniya Mein
Bas Yahi Zurm Kiya Hai Koi Afsos Nahin
Meri Kismat Mein Jo Likkhe The Unhi Kaanton Se
Dil Ke Zakhmon Ko Seeya Hai Koi Afsos Nahin
Ab Gire Sang Ke Sishon Ki Hoon Baarish 'faakir'
Ab Kafan Odh Liya Hai Koi Afsos Nahin
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें