FEVORIT GAJAL
- Apne Haathon Kee Lakiron Mein Basa Le Mujhko
Main Hoon Tera To Naseeb Apna Bana Le Mujhko
Mujhse Too Poochne Aaya Hai Wafa Ke Maani
Ye Teri Sadaa-dili Maar Na Daale Mujhko
Khud Ko Main Baant Na Daaloon Kahin Daaman-daaman
Kar Diya Tune Agar Mere Hawaale Mujhko
Bada Fir Bada Hai Main Zehar Bhi Pee Jaaoon 'qatil'
Shart Ye Hai Koi Baahon Mein Sambhale Mujhko
- Angdai Par Angdai Leti Hai Raat Judaee Kee
Tum Kya Samjho Tum Kya Jaano Baat Meri Tanhaayee Kee
Kaun Siyahi Ghol Raha Tha Waqt Ke Behte Dariya Mein
Maine Aankh Jhuki Dekhi Hai Aaj Kisi Harjee Kee
Wasl Ki Raat Na Jaane Kyoon Israar Tha Unko Jaane Par
Waqt Se Pehle Doob Gaye Taaron Ne Badi Daanaee Kee
Udte Udte Aas Ka Panchi Door Ufaq Mein Doob Gaya
Rote Rote Baith Gayee Awaaz Kisi Saudaaee Kee
- Bahut Dinon Ki Baat Hai
Fizaa Ko Yaad Bhi Nahin
Ye Baat Aaj Kee Nahin
Bahut Dinon Kee Baat Hai
Shabaab Par Bahaar Thee
Fizaa Bhi Khush-gawaar Thee
Naa Jaane Kyoon Machal Pada
Main Apne Ghar Se Chal Pada
Kisi Ne Mujhko Rok'kar
Badi Adaa Se Tok'kar
Kaha Tha Laut Aae'iye
Meri Kasam Naa Jaai'eye
Par Mujhe Khabar Na Thee
Maahol Par Nazar Na Thee
Naa Jaane Kyoon Machal Pada
Main Apne Ghar Se Chal Pada
Main Shehar Se Phir Aa Gaya
Khayal Thaa Ke Paa Gaya
Us'e Jo Mujhse Door Thee
Magar Meri Zaroor Thee
Aur Ik Hasin Shaam Ko
Main Chal Pada Salaam Ko
Gali Ka Rang Dekh'kar
Nayee Tarang Dekh'kar
Mujhe Badi Khushi Huyee
Main Kuch Isi Khushee Mein Tha
Kisi Ne Jhaank'kar Kaha
Paraaye Ghar Se Jaai'iye
Meri Kasma Na Aai'iye
Wahi Haseen Shaam Hai
Bahaar Jiska Naam Hai
Chala Hoon Ghar Ko Chodkar
Na Jaane Jaaoonga Kidhar
Koi Nahin Jo Tok'kar
Koi Nahin Jo Rok'kar
Kahe Ke Laut Aai'iye
Meri Kasam Na Jaaiye
- Dost Ban-banke Mile Mujhko Mitaane Waale
Maine Dekhe Hain Kai Rang Badalane Waale
Tumne Chup Rehkar Sitam Aur Bhee Dhaayaa Mujhpar
Tumse Achchhe Hain Mere Haal Pe Hansne Waale
Main To Ikhalaq Ke Hathon Hi Bika Kartaa Hoon
Aur Honge Tere Baazar Mein Bikne Waale
Akhree Daur Pe Salaam-e-dil-e-mustar Le Lo
Phir Naa Lautenge Shab-e-hijr Pe Ronewaale
- Gham Badhe Aate Hain Qaatil Kee Nigahon Ki Tarah
Tum Chupa Lo Mujhe Ae Dosth Gunahon Ki Tarah
Apni Nazron Mein Gunehgaar Na Hote Kyoon Kar
Dil Hi Dushman Hai Mukhalif Ke Gawahon Ki Tarah
Har Taraf Zeest Ki Raahon Mein Kadi Dhoop Hai Dosth
Bas Teri Yaad Ke Saaye Hain Panahon Ki Tarah
Jinki Khaatir Kabhi Ilzaam Uthaye 'faakir'
Wo Bhi Pesh Aaye Hain Insaaf Ke Shaahon Ki Tarah
- Humko Dushman Kee Nigahon Se Na Dekha Keeje
Pyaar Hi Pyaar Hain Hum Humpe Bharosa Keeje
Chand Yaadon Ke Siwa Haath Na Kuch Aayega
Is Tarah Umr-e-gureza Ka Na Peecha Keeje
Roshni Auron Ke Aangan Mein Gawara Na Sahee
Kam Se Kam Apne Ghar Mein To Ujaala Keeje
Kya Khabr Kab Wo Chale Aayenge Milne Ke Liye
Roz Palkon Pe Nayee Shamme Jalaya Keeje
- Mere Jaise Ban Jaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega
Diwaron Se Takraaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega
Har Baat Gawaara Kar Loge Mannat Bhi Ukara Loge
Tabeejen Bhi Bandhwaaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega
Tanhaayee Ke Jhoole Jhoologe Har Baat Puraani Bhoologe
Aayine Se Ghabraoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega
Jab Sooraj Bhi Kho Jaayega Aur Chaand Kahin So Jaayega
Tum Bhi Ghar Der Se Aaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega
Bechaini Jab Badh Jaayegi Aur Yaad Kisi Ki Aayegi
Tum Meri Ghazalen Gaoge Jab Ishq Tumhe Ho Jaayega
- Paseene Paseene Huye Jaa Rahe Ho
Ye Bolo Kahan Se Chale Aa Rahe Ho
Hamen Sabr Karne Ko Keh To Rahe Ho
Magar Dekh Lo Khud Hi Ghabraa Rahe Ho
Ye Kiskee Buri Tumko Nazar Lag Gayee Hai
Baharon Ke Mausam Mein Murjha Rahe Ho
Ye Aaina Hai Ye To Sach Hi Kahega
Kyon Apni Haqeeqat Se Katraa Rahe Ho
- Sarakti Jaaye Hain Rukh Se Naqaab Aahistaa-aahista
Nikalta Aa Raha Hai Aaftaab Aahistaa-aahista
Jawan Hone Lage Jab Wo To Humse Kar Liya Parda
Hayaa Yakalakht Aaee Aur Shabaab Aahistaa-aahista
Sab-e-furkat Ka Jaaga Hoon Paristhon Ab To Sone Do
Kabhi Fursat Mein Kar Lena Hisaab Aahistaa-aahista
Hamaare Aur Tumhaare Pyaar Mein Bas Farq Hai Itna
Idhar To Jaldi Jaldi Hai Udhar Aahistaa-aahista
Badi Bedardi Se Sar Kaate 'ameer' Aur Main Kahoon Unse
Huzur Aahistaa Aahistaa Janaab Aahistaa-aahista
- Socha Nahin Achcha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahin
Maanga Khuda Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahin
Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaaha Tujhe Pooja Tujhe
Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuch Bhi Nahin
Jispar Hamari Aankh Ne Moti Bichchaaye Raat Bhar
Bheja Wohi Kaagaz Tujhe Humne Likha Kuch Bhi Nahin
Ek Shaam Ki Dahleez Par Baithe Rahe Wo Der Taq
Aankhon Se Kee Baaten Bahot Humne Kaha Kuch Bhi Nahin
lot of spelling mistakes
जवाब देंहटाएं