MARASIM
- Aankhon Mein Jal Raha Hai Kyun, Bujhta Nahin Dhuaan
Uthta To Hai Ghata Sa Barasta Nahin Dhuaan
Choolha Nahin Jalaye Ya Basti Hi Jal Gayi
Kuch Roj Ho Gaye Hain Ab Uthta Nahin Dhuaan
Aankhon Se Ponchne Se Laga Aanch Ka Pata
Yun Chehra Pher Lene Se Chuptha Nahin Dhuaan
Aankhon Se Aansoon Ke Marasim Purane Hain
Mehmaan Ye Ghar Mein Aayen To Chubta Nahin Dhuaan
- Din Kuch Aise Guzaarta Hai Koi
Jaise Ahamsa Utaarta Hai Koi
Aayina Dekhkar Tasalli Huyi
Humko Is Ghar Main Jaanta Hai Koi
Pak Gaya Hai Shejar Pe Fal Shaayad
Fir Se Patthar Uchaalta Hai Koi
Der Se Goonjte Hain Sannaate
Jaise Humko Pukaarta Hai Koi
- Ek Parvaaz Dikhayee Di Hai
Teri Aawaz Sunayee De Rahi Hai
Jiski Aankhon Mein Kati Thi Sadiyaan
Usne Sadiyon Ki Judayee Di Hai
Sirf Ik Safha Palat Kar Usne
Beeti Baaton Ki Safaayee Di Hai
Fir Wahin Lautke Jaana Hoga
Yaar Ne Kaisi Rihayee Di Hai
Aag Ne Kya Kya Jalayaa Hai Shavpar
Kitni Khushrang Dikhayee Di Hai
- Ek Puraana Mausam Lauta, Yaad Bhari Purvayi Bhi
Aisa To Kam Hi Hotha Hai, Wo Bhi Ho Tanhaayee Bhi
Yaadon Ki Bauchhaaron Se Jab Palke Bheegne Lagti Hai
Kitni Soundi Lagthi Hai Tab Maanjhi Ki Ruswaee Bhi
Do Do Shaklen Dikthi Hain Is Behke Se Aayine Mein
Mere Saath Chala Aaya Hai Aapka Ik Saudayee Bhi
Khamoshi Ka Haasil Bhi Ik Lambi Si Kamoshi Hai
Unki Baath Suni Bhi Humne, Apni Baat Sunayi Bhi.
- Haath Chhuten Bhi Tho Rishthe Nahin Chhoda Karthe
Waqt Ki Shaakh Se Lamhein Nahin Toda Karthe
Jiski Aawaaz Mein Silwat Ho Nigahon Mein Shikan
Aise Tasvir Ke Tukde Nahin Joda Karthe
Shahad Jeene Ka Mila Karta Hai Thoda Thoda
Jaane Waalon Ke Liye Dil Nahin Thoda Karthe
Lagke Saahil Se Jo Behta Hai Use Behne Do
Aisi Dariya Ka Kabhi Rukh Nahin Moda Karthe
- Shaam Se Aankh Mein Namin Si Hai
Aaj Fir Aapki Kami Si Hai
Dafan Kar Do Hamein Ki Saans Mile
Nabz Kuch Der Se Thami Si Hai
Waqt Rehtha Nahin Kahin Chupkar
Iski Aadat Bhi Aadmi Si Hai
Koi Rishtha Nahin Raha Fir Bhi
Ek Tasleem Laazmi Si Hai
- Woh Kaath Ke Purze Uda Raha Tha
Hawavon Ka Roop Dikha Raha Tha
Kuch Aur Bhi Ho Gaya Numaayan
Main Apna Likha Mita Raha Tha
Usi Ka Eemaan Badal Gaya Hai
Kabhi Jo Mera Khuda Raha Tha
Wo Ek Din Ek Ajnabi Ko
Meri Kahani Suna Raha Tha
Wo Umr Kam Kar Raha Tha Meri
Main Saal Apne Badha Raha Tha
- Zindagi Yoon Huyi Basar Tanha
Kaafila Saath Aur Safar Tanha
Apne Saaye Se Chaunk Jaate Hain
Umr Guzri Hai Is Kadar Tanha
Raat Bar Bolthe Hain Sannaate
Raat Kaate Koi Kidhar Tanha
Din Guzartha Nahin Hai Logon Mein
Raat Hothi Nahin Basar Tanha
Humne Darwaaze Tak Tho Dekha Tha
Fir Na Jaane Gaye Kidhar Tanha
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें