Gajal By- CHITRA SINGH लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
Gajal By- CHITRA SINGH लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

Socha Nahin Achcha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahin

Socha Nahin Achcha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahin,
Maanga Khuda Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahin


Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaaha Tujhe Pooja Tujhe,
Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuch Bhi Nahin


Jispar Hamari Aankh Ne Moti Bichchaaye Raat Bhar,
Bheja Wohi Kaagaz Tujhe Humne Likha Kuch Bhi Nahin


Ek Shaam Ki Dahleez Par Baithe Rahe Wo Der Taq,
Aankhon Se Kee Baaten Bahot Humne Kaha Kuch Bhi Nahin

 
 
Album- A SOUND AFFAIR
Watch/Listen Gajal By- JAGJIT SINGH
 
 
Gajal By- Dr Basheer Badr
 


Manzil Na De Charaag Na De Hauslaa To De

 Manzil Na De Charaag Na De Hauslaa To De,
Tinke Ka Hi Sahee Tu Magar Aasraa To De,

Maine Ye Kab Kaha Ke Mere Haq Mein Ho Jawaab,
Lekin Khamosh Kyoon Hai Tu Koi Faislaa To De

Barson Main Tere Naam Pe Khaata Raha Fareb,
Mere Khuda Kahan Hai Tu Apna Pata To De

Beshaq Mere Naseeb Pe Rakh Apnaa Ikhtiyaar,
Lekin Mere Naseeb Mein Kya Hai Bata To De
 
 
Album- A SOUND AFFAIR
Watch/Listen Gajal By- JAGJIT SINGH


Kabhi To Khul Ke Baras Abr E Meherbaan Ki Tarah

 Kabhi To Khul Ke Baras Abr E Meherbaan Ki Tarah,
Mera Wazood Hai Jalte Huye Makan Kee Tarah


Main Ik Khwaab Sahee Aapki Amaanat Hoon,
Mujhe Sambhaal Ke Rakhiyegaa Jism-o-jaan Ki Tarah


Kabhi To Soch Ke Wo Saksh Kis Kadar Tha Buland,
Jo Bichh Gaya Tere Kadmon Mein Aasmaan Ki Tarah


Bula Rahaa Hai Mujhe Fir Kisi Badan Ka Basanth,
Guzar Na Jaaye Ye Ruth Bhi Kahin Khizaan Ki Tarah
 
 
 
Album- A SOUND AFFAIR
Watch/Listen Gajal By- CHITRA SINGH
 
 

Dil Ko Gham-e-hayaat Ganwaara Hai In Dino

Dil Ko Gham-e-hayaat Ganwaara Hai In Dino,
Pehle Jo Dard Tha Wahi Chaara Hai In Dino


Ye Dil Zara Sa Dil Teri Yaadon Mein Kho Gaya,
Zarre Ko Aandhiyon Ka Sahara Hai In Dino


Tum Aa Sako To Shab Ko Badha Doon Kuch Aur Bhi,
Apne Kahe Mein Subho Ka Taara Hai In Dino
 
 
Album- A MILE STONE
Watch/Listen Gajal By- Chitra Singh
 


Angdai Per Angdai Leti Hai Raat Judaai Ki

 
Angdai Per Angdai Leti Hai Raat Judaaee Kee,
Tum Kya Samjho Tum Kya Jaano Baat Meri Tanhaayee Kee

Kaun Siyahi Ghol Raha Tha Waqt Ke Behte Dariya Mein,
Maine Aankh Jhuki Dekhi Hai Aaj Kisi Harjee Kee


Wasl Ki Raat Na Jaane Kyoon Israar Tha Unko Jaane Par,
Waqt Se Pehle Dhoob Gaye Taaron Ne Badi Daanaee Kee


Udte Udte Aas Ka Panchi Door Ufaq Mein Doob Gaya,
Rote Rote Baith Gayee Awaaz Kisi Saudaaee Kee

Album- A MILE STONE
Gajal By- CHITRA SINGH


Qavvali By Nusrat Fateh Ali Khan