Album- A MILE STONE लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
Album- A MILE STONE लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

Yeh Mojeza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaaye Mujhe

Yeh Mojeza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaaye Mujhe,
Ke Sang Tujhpe Gire Aur Zakhm Aaye Mujhe


Wo Meharbaan Hai Tho Ikraar Kyoon Nahin Kartha,
Wo Badgumaan Hai Tho Sau Baar Aazmaaye Mujhe


Wo Mera Dost Hai Saare Jahaan Ko Hai Maaloom,
Daga Kare Wo Kisi Se Tho Sharm Aaye Mujhe


Main Apni Zaat Mein Neelam Ho Raha Hoon 'qateel',
Gham-e-hayaat Se Keh Do Khareed Laaye Mujhe
 
Album- A MILE STONE
Watch/Listen on YouTube
Gajal By- JAGJIT SINGH
 
Gajal By- Ustad Menhadi Hasan
 
 
Shahrjah Tour Rare Version
 
Film Video
 

Tumhare Anjuman Se Uthke Diwane Kahaan Jaate

Tumhare Anjuman Se Uthke Diwane Kahaan Jaate,
Junba Basta Huye Hamse Wo Ab Sare Kahaan Jaate


Tumhari Berukhi Ne Laaj Rakh Li Waada-faan-e Ki,
Tum Aankhon Se Pila Dete To Paimane Kahaan Jaate


Chalo Achchha Hua Kaam Aa Gayi Diwaangi Apni,
Warna Ham Zamaane Bhar Ko Samjhaane Kahaan Jaate
 
 
Album- A MILE STONE
Watch/Listen Gajal By- CHITRA SINGH


Tere Khushabu Men Base Khat Main Jalaataa Kaise

Tere Khushabu Men Base Khat Main Jalaataa Kaise
Pyaar Men Duube Hue Khat Main Jalaataa Kaise


Tere Khat Aaj Main Gangaa Men Bahaa Aayaa Hun
Aag Bahate Hue Paani Men Lagaa Aayaa Hun


Jin Ko Duniyaa Kii Nigaahon Se Chhupaye Rakhaa
Jin Ko Ik Umr Kaleje Se Lagaaye Rakhaa


Din Jin Ko, Jinhen Iimaan Banaaye Rakhaa
Tune Duniyaa Kii Nigaahon Se Jo Bachkar Likhe


Saalahaa-saal Mere Naam Baraabar Likhe
Kabhii Din Men To Kabhi Raat Men Uthakar Likhe


Pyaar Men Dube Hue Khat Main Jalaataa Kaise
Tere Haathon Ke Likhe Khat Main Jalaataa Kaise


Tere Khat Aaj Main Gangaa Men Bahaa Aayaa Hun
Aag Bahate Hue Paani Men Lagaa Aayaa Hun
 
 
Album- A MILE STONE
Watch/Listen on YouTube
Gajal By- JAGJIT SINGH
 
 
Movie- Arth (1982)
 
 
Video Album- Tere Khushabu Men Base Khat 1
 
 
Video Album- Tere Khushabu Men Base Khat 2
 


Sadma Hai Mujhe Bhi Ke Tujhse Juda Hoon Main

Sadma Hai Mujhe Bhi Ke Tujhse Juda Hoon Main,
Lekin Ye Sonchtaa Hoon Ke Ab Tera Kyaa Hoon Main


Bikhraa Pada Hai Tere Hi Ghar Mein Tera Wajood,
Bekaar Mehfilon Mein Tujhe Dhoondtaa Hoon Main


Naa Jaane Kis Adaa Se Liya Toone Mera Naam,
Duniya Samajh Rahee Hai Ke Sab Kuch Tera Hoon Main


Le Mere Tajurbon Se Sabak Ae Mere Raqeeb,
Do Chaar Saal Umr Mein Tujhse Bada Hoon Main

Album- A MILE STONE
Watch/Listen on YouTube
Gajal By- JAGJIT SINGH
 
 
 


Angdai Per Angdai Leti Hai Raat Judaai Ki

 
Angdai Per Angdai Leti Hai Raat Judaaee Kee,
Tum Kya Samjho Tum Kya Jaano Baat Meri Tanhaayee Kee

Kaun Siyahi Ghol Raha Tha Waqt Ke Behte Dariya Mein,
Maine Aankh Jhuki Dekhi Hai Aaj Kisi Harjee Kee


Wasl Ki Raat Na Jaane Kyoon Israar Tha Unko Jaane Par,
Waqt Se Pehle Dhoob Gaye Taaron Ne Badi Daanaee Kee


Udte Udte Aas Ka Panchi Door Ufaq Mein Doob Gaya,
Rote Rote Baith Gayee Awaaz Kisi Saudaaee Kee

Album- A MILE STONE
Gajal By- CHITRA SINGH


Qavvali By Nusrat Fateh Ali Khan