1. Bazm - E - Dushman Main Bulate Ho, Ye Kya Karte Ho,
Aur Phir Aakh Churate Ho, Ye Kya Karte Ho,
Baad Mein Phir Koi Mujhsa Milega Tum Ko,
Khak Me Kis Ko Milate Ho, Ye Kya Karte Ho,
Chhinte Paani Ke Na Do, Neend Bhari Aakho Par,
Soote Kitne Ko Jagate Ho, Ye Kya Karte Ho,
Hum To Dete Nahi, Kya Ye Bhi Zabardasti Hai,
Cheen Kar Dil Liye Jate Ho, Ye Kya Karte Ho,
Ho Na Jaye Kahi, Daman Ka Chudana Mushkil,
Mujh Ko Dewana Banate Ho, Ye Kya Karte Ho
2. Ek Dewane Ko Yeh Aaye Hain, Samjhane Kayee,
Pahle Main Dewana Tha, Aur Ab Hai Dewane Kayi,
Mujh Ko Chup Rehna Pada, Bas Aap Ka Muh Dekh Kar,
Warna Mehfil Mein To, Mere Jane Pehchane Kayi,
Ek Hi Pathar Lage Hai, Har Ebadat Ka Hame,
Ghad Liye Hai Ek But Ke, Sabne Afsane Kayi,
Main Wo Kashi Ka Musalma Hu, Ke Jis Ke Aye Lagi,
Apne Ghere Mein Liye Rehte Hai, But Khane Kayi
3. Ghar Se Hum Nikle The, Masjid Ki Taraf Jaaney Ko,
Rind Behkate Hame Le Gaye Maye Khane Ko,
Yeh Jaba Chalti Hai Na Se, Ke Churi Chalti Hai,
Zeba Karne Mujhe Aya Hai, Ke Samjhane Ko,
Aaj Kuch Aur Bhi Pi Lu, Ke Suna Hai Maine,
Aate Hai Hazrat - E - Waiz, Mera Samzhane Ko,
Hat Gayi Ariz - E - Roshan Se, Tumhare Jo Nakab,
Raat Bhar Shama Se, Nafrat Rahi Dewane Ko
4. Har Gosha Gulistan Tha,
Kal Raat Jahan Main Tha,
Ek Jashne Bahara Tha,
Nagme They Hawao Mein,
Jadu Tha Phijao Mein,
Har Saans Ghazal Ka Tha,
Dariya - E - Mohabat,
Kasti Thi Jawani Thi,
Jasbat Ka Tufan Tha,
Mehtab Tha Baho Mein,
Jalwe They Nigaho Mein,
Har Sin Pe Chiraga Tha,
They Chand Ke Saaye,
Pehre Ghani Julfo Ke,
Aur Husn Nigeban Tha,
Khalid Yeh Haqikat Hai,
Na Karda Gunaho Ki,
Mein Khub Pashema Tha
5. Rind Jo Mujh Ko Samjhate Hai Unhe Hosh Nahin,
Mayekada Saaz Hu Main, Mayekada Bardosh Nahi,
Ye Alag Baat Hai Saaki, Ke Muhe Hosh Nahi,
Warna Main Kuch Bhi Hu, Ehsaan Framosh Nahi,
Paav Unthsakte Nahi Manjile Jana Ke Khilaf,
Aur Agar Hosh Ki Pucho, To Mujhe Hosh Nahi,
Ab To Tasir - E - Game Ishq Yaha Tak Phuchi,
Ke Idhar Hosh Main Hai, To Udhar Hosh Nahi,
Jo Mujhe Dekhta Hai, Naam Tera Leeta Hai,
Main To Khamosh Hu, Halat Meri Khamosh Nahi,
Mehbe Tasbir To Sab Hai, Magar Idhraak Kaha,
Zindagi Khud Hi Ibadat Hai, Magar Hosh Nahi,
Kabhi Unmad Bhari Aakho Se, Piya Tha Ek Jaam,
Aaj Tak Hosh Nahi, Hosh Nahi,
Milke Ek Bar Gya Hai, Koi Jis Din Se Jigar,
Mujh Ko Yeh Veham, Shaayed Mera Ab Hosh Nahi
6. Wasl Ki Raat To, Rahat Se Basar Hone Do,
Sham Hi Se Hai, Ye Dhamki Ke Saher Hone Do,
Jisne Ye Dard Diya Hai, Who Dawa Bhi Dega,
La Gawah Hai Jo Mera, Darde Jigar Hone Do,
Jikra Rukhsat Ka, Abhi Se Na Karo, Baitho Bhi,
Janeman Raat Gujarne Do, Saher Hone Do,
Wasle Dushman Ki Khabar, Mujhse Abhi Kuch Na Kaho,
Jara Thero Mujhe Apni To, Khabar Hone Do
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें