Aap ko pahle bhi kahin dekha hai

Aisi Aankhein Nahi Dekhi, Aisa Kajal Nahi Dekha,

Aisa Jalwa Nahi Dekha, Aisa Chera Nahi Dekha,


Jab Yeh Daman Ki Hawa Ne, Aag Jungle Mein Laga De,
Jab Yeh Sherao Mein Jaye, Ret Mein Phool Khilaye,


Aisi Duniya Nahi Dekhi, Aisa Manjar Nahi Dekha,
Aisa Alam Nahi Dekha, Aisa Dilbar Nahi Dekha,


Us Ke Kangan Ka Khadakna, Jaisa Bul Bul Ka Chakna,
Us Ki Pajeb Ki Cham Cham, Jaise Barsatt Ka Mausam,


Aisa Sawan Nahi Dekha, Aisi Barish Nahi Dekhi,
Aisi Rim Jhim Nahi Dekhi, Aisi Khawaish Nahi Dekhi,


Us Ki Bewaqt Ki Batey, Jaise Sardi Ki Ho Raatey,
Uf Yeh Tanhai, Yeh Masti, Jaise Tufan Mein Kashti,


Mithi Koyal Si Hai Boli, Jaise Gito Ki Rangoli,
Surkh Galo Par Pasina, Jaise Fagun Ka Mahina

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें