Dukh ki laher ne chheda hoga लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
Dukh ki laher ne chheda hoga लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

GHULAM ALI: Dukh ki laher ne chheda hoga

Dukh ki laher ne chheda hoga;
Yaad me kankar pheka hoga!

Aaj to mera dil kehta hain;
woh is waqt, akela hoga!

Main to aaj bahut roya hun;
Tu bhi shayad roya hoga!

Mere chume huye haathon se;
Auro ko khat likhta hoga!

Mera sathi sam ka tara;
Tujhase aakh milata hoga!

Yaadon ki jalti shabnam se;
Phoolon sa mukhra dhoya hoga!

Naasir tera meet purana;
Tujhko yaad to aata hoga!