DILON KO TODNE WAALON TUMHE KISI SE KYA लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
DILON KO TODNE WAALON TUMHE KISI SE KYA लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

GHULAM ALI: DILON KO TODNE WAALON TUMHE KISI SE KYA

DILON KO TODNE WAALON TUMHE KISI SE KYA;
MILO TO AANKH CHURAA LO TUMHE KISI SE KYA!

MUJHE KHUD APNI NAZAR MEN BANA KE BEGAANA;
JAHAN KO APNA BANALO TUMHE KISI SE KYA!
NAZAR BACHAAKE GUZAR JAAO MEREE TURBAT SE;
KISI PE KHAAK NA DAALO TUMHE KISI SE KYA!

HAMAREE LAGHZISH-E-PAA KA KHAYAAL KYON HAI TUMHE;
TUM APNI CHAAL SAMBHALO TUMHE KISI SE KYA!