THE UNFORGETABLE
- Aaye Hain Samjhaane Log
Hain Kitne Deewane Log
Dair-o-haram Mein Chain Jo Miltha
Kyon Jaathe Maikhaane Log
Jaan Ke Sab Kuch, Kuch Bhi Na Jaane
Hain Kitne Anjaane Log
Waqt Pe Kaam Nahin Aathe Hain
Ye Jaane Pehchaane Log
Ab Jab Mujh Ko Hosh Nahin Hain
Aaye Hain Samjhaane Log
- Bahut Pehle Se Un Qadmon Ki Aahat Jaan Letey Hai
Tujhe Ae Zindagi Hum Door Se Pehchaan Letey Hain
Tabiyat Apni Ghabraati Hai Jab Sunsaan Raaton Mein
Hum Aise Mein Teri Yaadon Ki Chaadar Taan Lete Hain
Meri Nazren To Aise Qaafiron Ka Jaan-o-imaan Hai
Nigaahen Milte Hi Jo Jaam Aur Imaan Lete Hain
'firaq' Aksar Badal Kar Bhesh Milta Hai Koi Qaatil
Kabhi Hum Jaan Lete Hian Kabhi Pehchaan Lete Hain
- Dard Badhkar Fughan Na Ho Jaaye
Ye Zameen Aasmaan Na Ho Jaaye
Dil Mein Dooba Hua Jo Nashtar Hai
Mere Dil Ki Zubaan Na Ho Jaaye
Dil Ko Le Leejiye Jo Lena Hai
Fir Ye Sauda Garan Na Ho Jaaye
Aah Kije Magar Latif Tabhi
Lab Tak Aakar Dhuaan Na Ho Jaaye
- Ek Na Ek Shamma Andhere Mein Jalaye Rakhiye
Subah Hone Ko Hai Maahol Sajaaye Rakhiye
Jinke Haathon Se Hume Zakm-e-neha Pahunchi Hai
Wo Bhee Kehte Hain Ke Zakhmon Ko Chupaaye Rakhiye
Kaun Jaane Ke Wo Kis Raah-guzar Se Guzre
Har Guzar Raah Ko Phoolon Se Sajaaye Rakhiye
Daaman-e-yaar Ki Zeenat Na Bane Har Ansoo
Apni Palkon Ke Liye Kuch To Bachaaye Rakhiye
- Hum Hi Mein Thee Na Koi Baat, Yaad Hi Na Tumko Aa Sake
Tumnay Hamein Bhula Diya Hum Na Tumhe Bhula Sake
Tum Hi Na Sun Sake Agar Kissa-e-gham Sunega Kaun
Kis Ki Zubaan Khulegi Phir Hum Na Agar Suna Sake
Shauk-e-visaal Hain Yahan Lab Pe Sawaal Hai Yahan
Kis Ki Majaal Hai Yahan Hum Se Nazar Mila Sake
- Jawan Hai Raat Sakiya Sharaab La Sharaab La
Zara Si Pyaas To Bhuja Sharaab La Sharaab La
Tere Shabab Par Sada Karam Rahey Bahaar Ka
Tujhay Lage Meri Dua Sharaab La Sharaab La
Yahan Koi Na Jee Saka Na Jee Sakega Hosh Mein
Mitaa Dey Naam Hosh Ka Sharaab La Sharaab La
Tera Bada Hi Shukriya Pilaaye Ja Pilaaye Ja
Na Zikr Kar Hisaab Ka Sharaab La Sharaab La
- Kisi Ranjish Ko Hawa Do Ke Main Zinda Hoon Abhi
Mujhko Ehsaas Dila Do Ke Main Zinda Hoon Abhi
Mere Rukne Se Meri Saanse Bhi Ruk Jaayengi
Faasile Aur Badha Do Ke Main Zinda Hoon Abhi
Zehar Peene Ki To Aadat Thi Zamaane Waalon
Ab Koi Aur Dawa Do Ke Main Zinda Hoon Abhi
Chalti Raahon Mein Yoonhi Aankh Lagi Hai 'faakir'
Bheed Logon Ki Hata Do Ke Main Zinda Hoon Abhi
- Raat Bhi Neend Bhi Kahaani Bhee
Haaye Kya Cheez Hai Jawaani Bhee
Dil Ke Sholon Se Padti Hai Sehra
Zindagi Aag Bhee Hai Paani Bhee
Khark Kya Kya Mujhe Nahin Kehti
Kuch Sunoon Main Teri Zubaani Bhee
Paas Rehna Kisi Ka Raat Ki Raat
Mehmaani Bhee Mezbaani Bhee
- Tumne Sooli Pe Latakte Jise Dekha Hoga
Waqt Aayega Wahi Shaksh Maseeha Hoga
Khwaab Dekha Thaa Ke Sehra Mein Basera Hoga
Kyaa Khabar Thi Ke Yahi Khwaab To Sachcha Hoga
Main Fizaaon Mein Bikhar Jaaoonga Khushboo Bankar
Rang Hoga Na Badan Hoga Na Chehra Hoga
- Yeh Mojeza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaaye Mujhe
Ke Sang Tujhpe Gire Aur Zakhm Aaye Mujhe
Wo Meharbaan Hai Tho Ikraar Kyoon Nahin Kartha
Wo Badgumaan Hai Tho Sau Baar Aazmaaye Mujhe
Wo Mera Dost Hai Saare Jahaan Ko Hai Maaloom
Daga Kare Wo Kisi Se Tho Sharm Aaye Mujhe
Main Apni Zaat Mein Neelam Ho Raha Hoon 'qateel'
Gham-e-hayaat Se Keh Do Khareed Laaye Mujhe
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें