Hope
- Ab Khushi Hai Na Koi Gam Rulaane-waala
Humne Apna Liya Har Rang Zamaane-waala
Usko Rukhsat To Kiya Tha Mujhe Maloom Na Tha
Saara Ghar Le Gaya, Ghar Chod Ke Jaane-waala
Ik Musafir Ke Safar Jaisi Hai Sabki Duniyan
Koi Jaldi Mein Koi De'r Se Jaane-waala
Ek Be-chehra See Ummid Hai Chehra-chehra
Jis Taraf Dekhiye Aane Ko Hai Aane-waala
- Aise Hijr Ke Mausam Tab Tab Aate Hain
Tere Alaawa Yaad Hame Sab Aate Hain
Jaadu Ki Aankhon Se Bhi Dekho Duniya Ko
Khwaabon Ka Kya Hai Wo Har Sab Aate Hain
Ab Ke Safar Ki Baat Nahin Baaqi Warna
Hum Ko Bulaayen Dasth Se Jab Wo Aate Hain
Kaagaz Ki Kasthi Mein Dariya Paar Kiya
Dekho Hum Ko Kya Kya Kartab Aate Hain
- Dekha Jo Aa'inah To Mujhe Sochna Pada
Khud Se Na Mil Saka To Mujhe Sochna Pada
Uska Jo Khat Mila To Mujhe Sochna Pada
Apna Sa Wo Laga To Mujhe Sochna Pada
Mujhko Tha Gumaan Ke Muhhi-mein Hai Ek Wana
Dekha Teri Anaa To Mujhe Sochna Pada
Duniya Samajh Rahee Thee Ke Naraaz Mujhse Hai
Lekin Wo Jab Mila To Mujhe Sochna Pada
Ik Din Wo Mere Aib Ginaane Laga Karaar
Jab Khud Hi Thak Gaya To Mujhe Sochna Pada
- Dhoop Hai Kya Aur Saaya Kya Hai Ab Maloom Hua
Ye Sab Khel Tamasha Kya Hai Ba Maloom Hua
Hanste Phool Ka Chehra Dekhoon Aur Bhar Aayi Aankh
Apne Saath Ye Kissa Kya Hai Ab Maloom Hua
Hum Barson Ke Baad Bhi Unko Ab Taq Bhool Na Paaye
Dil Se Unka Rishtaa Kya Hai Ab Maloom Hua
Sehra Sehra Pyaase Bhatke Saari Umr Jale
Baadal Ka Ik Tukda Kya Hai Ab Maloom Hua
- Kabhii Yuu.n Bhii Aa Merii Aa.nkh Me.n Ke Merii Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe Ek Raat Nawaaz De Magar Uske Baad Sahar Na Ho
Vo Ba.daa Rahiim-o-kariim Hai Mujhe Ye Sifat Bhii Ataa Kare
Tujhe Bhuulane Kii Duaa Karuu.n To Duaa Me.n Merii Asar Na Ho
Kabhii Din Kii Dhuup Me.n Jhuum Ke Kabhii Shab Ke Phuul Ko Chuum Ke
Yuu.n Hii Saath Saath Chale.n Sadaa Kabhii Khatm Apanaa Safar Na Ho
Mere Paas Mere Habiib Aa Zaraa Aur Dil Ke Qariib Aa
Tujhe Dha.dakano.n Me.n Basaa Luu.n Mai.n Ke Bichha.dane Kaa Kabhii Dar Na Ho
- Khudaa Humko Aisee Khudaayee Na De
Ke Apne Siwa Kuchch Dikhaayee Na De
Khatawaar Samjhegee Duniyaan Tujhe
Ke Itnee Ziyaada Safaayee Na De
Hanso Aaj Itnaa Ke Is Shor Mein
Sada Siskiyon Ki Sunaayee Na De
Abhi To Badan Mein Lahoo Hai Bahot
Kalam Cheen Le Roshnaayee Na De
Khuda Aise Ehsaas Ka Naam Hai
Rahe Saamne Aur Dikhayee Na De
- Kya Khabar Thee Is Tarah Se Wo Juda Ho Jaayega
Khwaab Mein Bhi Uska Milna Khwaab Sa Ho Jaayega
Zindagi Thee Qaid Hum'me Kya Nikaaloge Use
Maut Jab Aa Jaayegi To Khud Rihaa Ho Jaayega
Dosth Bankar Usko Chaaha Ye Kabhi Socha Na Tha
Dosthi Hee Dosthi Mein Wo Khudaa Ho Jaayega
Uska Jalwa Hoga Kya Jiska Ke Parda Noor Hai
Jo Bhi Usko Dekh Lega Wo Fidaa Ho Jaayega
- Na Shiwaale, Na Qalisa, Na Haram Jhoote Hain
Bas Yahi Sach Hai Ke Tum Jhoote Ho Hum Jhoote Hain
Humne Dekha Hee Nahi Bolte Unko Ab Taq
Kaun Kehta Hai Ke Pathar Ke Sanam Jhoote Hain
Unse Miliye To Khushi Hoti Hai Unse Milkar
Sehar Ke Doosre Logon Se Jo Kam Jhoote Hain
Kuch To Hai Baat Jo Tehriron Mein Taasir Nahin
Jhoote Fanqaar Nahin Hain To Qalam Jhoote Hain
- Tanha Tanha Hum Ro Lenge Mehfil Mehfil Gaayenge
Jab Taq Aansoo Saath Rahenge Tab Taq Geet Sunaayenge
Tum Jo Soncho Wo Tum Jaano Hum To Apni Kehte Hain
Der Na Karna Ghar Jaane Mein Warna Ghar Kho Jaayenge
Bachchon Ke Chote Haathon Ko Chaand Sitaaren Choone Do
Chaar Kitaabe Padh Kar Wo Bhi Hum Jaise Ho Jaayenge
Kin Raahon Se Door Hai Manzil Kaun Sa Rasta Aasaan Hai
Hum Jab Thal Kar Ruk Jaayenge, Auron Ko Samjhaayenge
Achchee Soorat Waale Saare Patthar Dil Hon Mumkin Hai
Hum To Uss Din Raayen Denge Jis Din Dhokha Khaayenge
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें