Phir Na Aaya Khayaal Zannat Ka
Jab Tere Ghar Ka Raasta Dekha
Uss Mod Se Shuru Karen Phir Ye Zindagi
Har Shay Jahan Haseen Thee, Hum Tum The Ajnabi
Lekar Chale The Hum Jinhe Jannat Ke Khwaab The
Phoolon Ke Khwaab The Wo Mohabbat Ke Khwaab The
Lekin Kahan Hai Unmein Wo Pehle See Dilkashi
Rehte The Hum Haseen Khayaalon Ki Bheed Mein
Uljhe Huye Hain Aaj Sawaalon Ki Bheed Mein
Aane Lagi Hai Yaad Wo Fursat Ki Har Ghadi
Shaayad Ye Waqt Humse Koi Chaal Chal Gaya
Rishta Wafa Ka Aur Hi Rangon Mein Dhal Gaya
Ashkon Ki Chandini Se Thee Behtar Wo Dhoop Hi
Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo
Bhale Cheen Lo Mujhse Meri Jawaani
Magar Mujhko Lauta Do Bachchpan Ka Saawan
Wo Kaagaz Ki Kasthi Wo Baarish Ka Paani
Mohalle Ki Sabse Nishaani Purani
Wo Budhiya Jise Bachche Kehte The Naani
Wo Naani Kee Baaton Mein Pariyon Ka Dera
Wo Chehre Ke Jhuriyon Mein Sadiyon Ka Phera
Bhulaaye Nahin Bhool Saqta Hai Koi
Wo Choti See Raaten Wo Lambi Kahaani
Kadi Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalna
Wo Chidiya Wo Bulbul Wo Thithli Pakadna
Wo Gudiya Ki Shaadi Pe Ladna Jhagadna
Wo Jhoolon Se Girna, Wo Gir Ke Sambhalna
Wo Pithal Ke Challon Ke Pyaare Se Tho'fe
Wo Tuti Hui Chudiyon Ki Nishaani
Kabhi Re't Ke Oonche Tilon Pe Jaana
Gharonde Banana, Banaake Mitaana
Wo Maasoom Chaahat Ki Tasveer Apni
Wo Khwabon Khilono Ki Taabir Jaageer Apni
Na Duniya Ka Gham Tha Na Rishton Ke Bandhan
Badi Khoobsoorat Thi Wo Zindgaani
Zindagi Tujhko Jiya Hai Koi Afsos Nahin
Zehar Khud Maine Piya Hai Koi Afsos Nahin
Maine Mujrim Ko Bhi Mujrim Na Kaha Duniya Mein
Bas Yahi Zurm Kiya Hai Koi Afsos Nahin
Meri Kismat Mein Jo Likkhe The Unhi Kaanton Se
Dil Ke Zakhmon Ko Seeya Hai Koi Afsos Nahin
Ab Gire Sang Ke Sishon Ki Hoon Baarish 'faakir'
Ab Kafan Odh Liya Hai Koi Afsos Nahin
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें